Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Davarka Das Shola

1910–1983

Poems

Meter
  1. apnoñ ke sitam yād na ġhairoñ kī jafā yādvo hañs ke zarā bole to kuchh bhī na rahā yād
  2. apnī be chārgī pe ro na saketere kyā hote apne ho na sake
  3. insāñ ba yak nigāh burā bhī bhalā bhī haiya.anī vo musht-e-ḳhāk to hai kīmiyā bhī hai
  4. ek rahzan ko amīr-e-kārvāñ samjhā thā maiñapnī bad baḳhtī ko manzil kā nishāñ samjhā thā maiñ
  5. dil-e-be mudda.ā kā mudda.ā kyāuse yaksāñ ravā kyā nāravā kyā
  6. dekh jurm-o-sazā kī bāt na karmaikade meñ ḳhudā kī bāt na kar
  7. zarā nigāh uṭhā.o ke ġham kī rāt kaṭenazar nazar se milā.o ke ġham kī rāt kaṭe
  8. zindagī kyā hai ibtilā ke sivāshikva-e-dard-e-lā davā ke sivā
  9. zīst be va.ada-e-anvār-e-sahar hai ke jo thīzulmat-e-baḳht ba har rang-o-nazar hai ke jo thī
  10. ishq meñ ābrū ḳharāb huīzindagī sar basar azāb huī
  11. ġham ko vaj.h-e-hayāt kahte haiñāp bhī ḳhūb bāt kahte haiñ
  12. mirī be qarārī mirī āh-o-zārī ye vahshat nahīñ hai to phir aur kyā haipareshāñ to rahnā magar kuchh na kahnā mohabbat nahīñ hai to phir aur kyā hai
  13. merī manzil kahāñ hai kyā ma.alūmintihā ġham hai ibtidā ma.alūm
  14. nahīñ kahte kisī se hāl-e-dil ḳhāmosh rahte haiñke apnī dāstāñ meñ tere afsāne bhī āte haiñ