Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Zafar Imam

b. 1963

Poems

Meter
  1. ik nadī meñ saikṛoñ dariyā kī tuġhyānī milīḍūbne vāle ko mar jāne kī āsānī milī
  2. bhale hī ānkh mirī sārī rāt jāgegīsajā sajā ke salīqe se ḳhvāb dekhegī
  3. dard bahtā hai dariyā ke sīne meñ pānī nahīñus kā chaṭān pe sar paṭaknā kahānī nahīñ
  4. dard kī dhūp bhare dil kī tamāzat le karkaise jā.e koī ehsās kī hijrat le kar
  5. dukh dard mire pās bhī jauhar kī tarah haiñzulmat meñ vo qindīl munavvar kī tarah haiñ
  6. dhūp niklī kabhī bādal se ḍhakī rahtī hairāt din apnī hī ānkhoñ meñ juggī rahtī hai
  7. sāhil par dariyā kī lahreñ sajdā kartī rahtī haiñlauṭ ke phir āne jāne kā va.adā kartī rahtī haiñ
  8. mere andar kā ġhurūr andar guzartā rah gayāsar se pāoñ tak utarnā thā utartā rah gayā
  9. maiñ hī dastak dene vālā meñ hī dastak sunne vālāapne ghar kī barbādī par maiñ hī sar ko dhunne vālā
  10. nā.o dariyā meñ chale sāmne manjdhār bhī hoḍūb jāne ke liye har koī tayyār bhī ho