Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

وزیر علی صبا لکھنؤی

Poems

Meter
  1. āp apnī be vafā.ī dekhiyeham se aur aisī burā.ī dekhiye
  2. āyā jo mausam-e-gul to ye hisāb hogāham hoñge yār hogā jām-e-sharāb hogā
  3. ā.ī ai gulizār kyā kahnāḳhūb ā.ī bahār kyā kahnā
  4. ashk uftāda nazar āte haiñ sāre dariyāsail-e-girya ne ye nazroñ se utāre dariyā
  5. un kī raftār se dil kā ajab ahvāl huāranda gayā pas gayā miṭṭī huā pāmāl huā
  6. ai sabā jazb pe jis dam dil-e-nāshād āyāapnī āġhosh meñ uṛ kar vo parī zād āyā
  7. ai sanam sab haiñ tire hāthoñ se nālāñ āj kalsūrat-e-nāqūs haiñ gabr-o-musalmāñ āj kal
  8. bāġh-e-ālam meñ hai be rang bayān-e-vā.izsūrat-e-barg-e-ḳhuzzanī hai zabān-e-vā.iz
  9. but parastī se na tīnat mirī zinhār phirīsub.h sau bār ḳharīdī ga.ī sau bār phirī
  10. bach kar kahāñ maiñ un kī nazar se nikal gayāik tīr thā ke sāf jigar se nikal gayā
  11. banda ab nāsabūr hotā haiafv hove qusūr hotā hai
  12. tum har ik rang meñ ai yār nazar āte hokahīñ gul aur kahīñ ḳhār nazar āte ho
  13. jo adū-e-bāġh ho barbād hokoī ho gulchīñ ho yā sayyād ho
  14. dāġh-e-junūñ dimāġh-e-pareshāñ meñ rah gayādāman meñ ḳhār chāk-e-garebāñ meñ rah gayā
  15. dil par dāġh bāġh kis kā haidīda-e-tar ayāġh kis kā hai
  16. dil hai ġhizā-e-ranj-e-jigar hai ġhizā-e-ranjpaidā kyā hai ham ko ḳhudā ne barā-e-ranj
  17. dekh kar ḳhush rang us gul pairahan ke hāth pā.oñphūl jāte haiñ javānān-e-chaman ke hāth pā.oñ
  18. rang hai ai sāqī-e-sarshār qaisar bāġh meñphūl pīte haiñ tire mai ḳhvār qaisar bāġh meñ
  19. adū-e-jāñ but-e-be bāk niklābaṛā qātil baṛā saffāk niklā
  20. ishq kā iḳhtitām karte haiñdil kā qissa tamām karte haiñ
  21. fikr ranj-o-rāhat kaisīdozaḳh kaisā jannat kaisī
  22. qabr par bād fanā ā.iyegābe mahal pā.oñ na phailā.iyegā
  23. kis muñh se kahīñ gunāh kyā haiñtauba hai ro siyāh kyā haiñ
  24. mahshar kā hameñ kyā ġham isyāñ kise kahte haiñpale pe vo but hogā mīzāñ kise kahte haiñ
  25. vā.iz ke maiñ zarūr ḍarāne se ḍar gayājām-e-sharāb lā.e bhī sāqī kidhar gayā