Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ummeed Fazli

1923–2005

Poems

Meter
  1. ā.īna-e-vahshat ko jalā jis se milī haivo gard-e-rah tark-e-marāsim se uṭhī hai
  2. ik aisā marhala-e-rah guzar bhī ātā haikoī fasīl-e-anā se utar bhī ātā hai
  3. tum ho jo kuchh kahāñ chhupā.ogelikhne vālo nazar to ā.oge
  4. jāne ye kaisā zahr diloñ meñ utar gayāparchhā.īñ zinda rah ga.ī insān mar gayā
  5. hijāb uṭhe haiñ lekin vo rū ba ro to nahīñsharīk-e-ishq kahīñ koī ārzū to nahīñ
  6. ḳhvāb ānkhoñ meñ sajā.e rakhnāazm ke dīp jalā.e rakhnā
  7. kab tak is pyās ke sahrā meñ jhulaste jā.eñab ye bādal jo uṭhe haiñ to baraste jā.eñ
  8. kisī se aur to kiyā guftugū kareñ dil kīke rāt sun na sake ham bhī dhaṛkaneñ dil kī
  9. maqtal-e-jāñ se ke zindāñ se ke ghar se nikleham to ḳhushbū kī tarah nikle jidhar se nikle
  10. nāz kar nāz ke ye nāz judā hai sab semerā lahja mirī āvāz judā hai sab se
  11. vo ḳhvāb hī sahī pesh-e-nazar to ab bhī haibichhaṛne vālā sharīk-e-safar to ab bhī hai
  12. hā.e ik shaḳhs jise ham ne bhulāyā bhī nahīñyād āne kī tarah yād vo āyā bhī nahīñ
  13. ham haiñ bas itne hī sāhil āshnāḳhāk manzil jitnī manzil āshnā