Poet
Ummeed Fazli
1923–2005
Poems
- آسمانوں سے فرشتے جو اتارے جائیںوہ بھی اس دور میں سچ بولیں تو مارے جائیںāsmānoñ se farishte jo utāre jā.eñvo bhī is daur meñ sach boleñ to māre jā.eñ
- جانے کب طوفان بنے اور رستا رستا بچھ جائےبند بنا کر سو مت جانا دریا آخر دریا ہےjāne kab tūfān bane aur rastā rastā bichh jā.eband banā kar so mat jānā dariyā āḳhir dariyā hai
- جب سے امیدؔ گیا ہے کوئی!!لمحے صدیوں کی علامت ٹھہرےjab se umīd gayā hai koī!!lamhe sadiyoñ kī alāmat ṭhahre
- کل اس کی آنکھ نے کیا زندہ گفتگو کی تھیگمان تک نہ ہوا وہ بچھڑنے والا ہےkal us kī ānkh ne kyā zinda guftugū kī thīgumān tak na huā vo bichhaṛne vālā hai
- گھر تو ایسا کہاں کا تھا لیکندر بدر ہیں تو یاد آتا ہےghar to aisā kahāñ kā thā lekindar badar haiñ to yād ātā hai
- یہ سرد رات یہ آوارگی یہ نیند کا بوجھہم اپنے شہر میں ہوتے تو گھر گئے ہوتےye sard rāt ye āvārgī ye nīnd kā bojhham apne shahr meñ hote to ghar ga.e hote