Poet
Tabish Dehlvi
1911–2004
Poems
- آغاز گل ہے شوق مگر تیز ابھی سے ہےیعنی ہوائے باغ جنوں خیز ابھی سے ہےāġhāz-e-gul hai shauq magar tez abhī se haiya.anī havā-e-bāġh-e-junūñ ḳhez abhī se hai
- ایک جلوہ بصد انداز نظر دیکھ لیاتجھ کو ہی دیکھا کئے تجھ کو اگر دیکھ لیاek jalva basad andāz-e-nazar dekh liyātujh ko hī dekhā kiye tujh ko agar dekh liyā
- باغ میں جوشِ بہار آخر یہاں تک آ گیابڑھتے بڑھتے شعلہ گُل آشیاں تک آ گیا
- بند غم مشکل سے مشکل تر کھلاہم سے جب کوئی پری پیکر کھلاband-e-ġham mushkil se mushkil tar khulāham se jab koī parī paikar khulā
- بہت جبین و رخ و لب بہت قد و گیسوطلب ہے شرط سکوں کے ہزار ہا پہلوbahut jabīn-o-ruḳh-o-lab bahut qad-o-gesūtalab hai shart sukūñ ke hazār hā pahlū
- پابندیٔ حدود سے بیگانہ چاہئےداماں بقدر وحشت دیوانہ چاہئےpābandī-e-hudūd se begāna chāhiyedāmāñ baqadr-e-vahshat dīvāna chāhiye
- تابشؔ ہوس لذت آزار کہاں تکراحت سے یہ غم پھر بھی مرے یار کہاں تکtābish havas-e-lazzat āzār kahāñ takrāhat se ye ġham phir bhī mire yār kahāñ tak
- ٹوٹ کر عہد تمنا کی طرحمعتبر ہم رہے فردا کی طرحṭūṭ kar ahd-e-tamannā kī tarahmotabar ham rahe fardā kī tarah
- دھومیں مچائیں سبزہ روندیں پھولوں کو پامال کریںجوش جنوں کا یہ عالم ہے اب کیا اپنا حال کریںdhūmeñ machā.eñ sabza raundeñ phūloñ ko pāmāl kareñjosh-e-junūñ kā ye ālam hai ab kyā apnā hāl kareñ
- دیکھیے اہل محبت ہمیں کیا دیتے ہیںکوچۂ یار میں ہم کب سے صدا دیتے ہیںdekhiye ahl-e-mohabbat hameñ kyā dete haiñkūcha-e-yār meñ ham kab se sadā dete haiñ
- زیر لب رہا نالہ درد کی دوا ہو کرآہ نے سکوں بخشا آہ نارسا ہو کرzer-e-lab rahā nāla dard kī davā ho karāh ne sukūñ baḳhshā āh nārasā ho kar
- سب غم کہیں جسے کہ تمنا کہیں جسےوہ اضطراب شوق ہے ہم کیا کہیں جسےsab ġham kahīñ jise ke tamannā kahīñ jisevo iztirāb-e-shauq hai ham kyā kaheñ jise
- سب نے مجھ ہی کو در بدر دیکھابے گھری نے مرا ہی گھر دیکھاsab ne mujh hī ko dar badar dekhābe ghirī ne mirā hī ghar dekhā
- سوز پرور نگاہ رکھتے ہیںہم نظر میں بھی آہ رکھتے ہیںsoz parvar nigāh rakhte haiñham nazar meñ bhī āh rakhte haiñ
- شرمندہ ہم جنوں سے ہیں ایک ایک تار کےکیا کیجیئے کہ دن ہیں ابھی تک بہار کےsharminda ham junūñ se haiñ ek ek tār kekyā kījī.e ke din haiñ abhī tak bahār ke
- عذاب ٹوٹے دلوں کو ہر اک نفس گزراشکستہ پا تھے گراں مژدۂ جرس گزراazāb ṭūṭe diloñ ko har ik nafas guzrāshikasta pā the girāñ muzhda-e-jaras guzrā
- کسی مسکین کا گھر کھلتا ہےیا کوئی زخم نظر کھلتا ہےkisī miskīn kā ghar khultā haiyā koī zaḳhm nazar khultā hai
- منزلوں کو نظر میں رکھا ہےجب قدم رہ گزر میں رکھا ہےmanziloñ ko nazar meñ rakhā haijab qadam rah guzar meñ rakhā hai
- مہ و پرویں تہ کمند رہےکن فضاؤں میں ہم بلند رہےmah-o-parvīñ tah-e-kamand rahekin fazā.oñ meñ ham buland rahe
- نفس کی زد پہ ہر اک شعلۂ تمنا ہےہوا کے سامنے کس کا چراغ جلتا ہےnafas kī zad pe har ik shola-e-tamannā haihavā ke sāmne kis kā charāġh jaltā hai
- ہمہ تن گوش اک زمانہ تھامیرے لب پر ترا فسانہ تھاhama tan gosh ik zamāna thāmere lab par tirā fasāna thā
- یوں نقاب رخ مقابل سے اٹھیچشم صد نظارہ مشکل سے اٹھیyūñ naqāb-e-ruḳh muqābil se uṭhīchashm-e-sad nazāra mushkil se uṭhī
- آئینہ جب بھی رو بہ رو آیااپنا چہرہ چھپا لیا ہم نےā.īna jab bhī rū ba ro āyāapnā chehra chhupā liyā ham ne
- ذرے میں گم ہزار صحراقطرے میں محیط لاکھ قلزمzarre meñ gum hazār sahrāqatre meñ muhīt lākh qulzum
- شاہوں کی بندگی میں سر بھی نہیں جھکایاتیرے لیے سراپا آداب ہو گئے ہمshāhoñ kī bandagī meñ sar bhī nahīñ jhukāyātere liye sarāpā ādāb ho ga.e ham