منزلوں کو نظر میں رکھا ہے
Tabish Dehlvi (1911–2004)منزلوں کو نظر میں رکھا ہے
جب قدم رہ گزر میں رکھا ہے
اک ہیولیٰ ہے گھر خرابی کا!
ورنہ کیا خاک گھر میں رکھا ہے
ہم نے حسن ہزار شیوہ کو
جلوہ جلوہ نظر میں رکھا ہے
چاہیئے صرف ہمت پرواز
باغ تو بال و پر میں رکھا ہے
حرم و دیر سے الگ ہم نے
ابھی اک سجدہ سر میں رکھا ہے
میری ہمت نے اپنی منزل کا
فاصلہ رہ گزر میں رکھا ہے
رات دن دھوپ چھاؤں کا عالم
کیا تماشا نظر میں رکھا ہے
manzilon ko nazar mein rakha hai
jab qadam rah guzar mein rakha hai
ik hayula hai ghar kharabi ka!
warna kya khak ghar mein rakha hai
ham ne husn-e-hazar shewa ko
jalwa jalwa nazar mein rakha hai
chahiye sirf-e-himmat-e-parwaz
bagh to bal-o-par main rakha hai
haram-o-dair se alag ham ne
abhi ik sajda sar mein rakha hai
meri himmat ne apni manzil ka
fasla rah guzar mein rakha hai
rat din dhup chhaon ka alam
kya tamasha nazar mein rakha hai