Poet
شاہ اکبر داناپوری
Poems
- ان پہ رشک آتا ہے یہ لوگ ہیں قسمت والےراہ میں تیری مٹے تیری محبت والےun pe rashk ātā hai ye log haiñ qismat vālerāh meñ terī miṭe terī mohabbat vāle
- اے صنم مجھ کو کسی سے بھی سروکار نہیں بخدا تیرے سوادین و ایماں سے بھی مطلب مجھے زنہار نہیں میں تو بندہ ہوں تراai sanam mujh ko kisī se bhī sarokār nahīñ baḳhudā tere sivādīn-o-īmāñ se bhī matlab mujhe zinhār nahīñ maiñ to banda hūñ tirā
- ترک کی جائے گی مدت کی رفاقت کیسےچھوڑ دے گی مجھے تو اے شب فرقت کیسےtark kī jā.egī muddat kī rifāqat kaisechhoṛ degī mujhe to ai shab-e-furqat kaise
- جب یاد کیا اس نے پھر کس کی فراموشییوں آتے ہیں ہوش اکبرؔ یوں جاتی ہے بے ہوشیjab yād kiyā us ne phir kis kī farāmoshīyūñ āte haiñ hosh akbar yūñ jātī hai be hoshī
- خوں کے پیاسے ہیں وہاں ابروئے خم دار جداتیز کرتی ہے چھری یاں مژۂ یار جداḳhūñ ke pyāse haiñ vahāñ abrū-e-ḳham dār judātez kartī hai chhurī yāñ mizha-e-yār judā
- خیمہ ڈالے ہوئے رہرو ہے پڑا ایک سے ایککس تکلف کی ہے دنیا میں سرا ایک سے ایکḳhema ḍāle hue rahrau hai paṛā ek se ekkis takalluf kī hai duniyā meñ sarā ek se ek
- دنیا دیکھی زمانہ دیکھاتجھ کو سب میں یگانہ دیکھاduniyā dekhī zamāna dekhātujh ko sab meñ yagāna dekhā
- ڈھونڈ لیتا جو انہیں ڈھونڈھنے والا ہوتادیکھ لیتا جو کوئی دیکھنے والا ہوتاḍhūñḍ letā jo unheñ ḍhūñḍhne vālā hotādekh letā jo koī dekhne vālā hotā
- رقیب جوڑ چلا تم ملال کر بیٹھےکدھر خیال گیا کیا خیال کر بیٹھےraqīb joṛ chalā tum malāl kar baiṭhekidhar ḳhayāl gayā kyā ḳhayāl kar baiṭhe
- سرسری بھی ہے کارگر بھی ہےیہ کٹاری بھی ہے نظر بھی ہےsarsarī bhī hai kārgar bhī haiye kaṭārī bhī hai nazar bhī hai
- سرمہ جو زیب چشم سیہ فام ہو گیافتنہ سوار ابلق ایام ہو گیاsurma jo zeb-e-chashm-e-siyah fām ho gayāfitna savār ablaq-e-ayyām ho gayā
- شکل جب بس گئی آنکھوں میں تو چھپنا کیسادل میں گھر کر کے مری جان یہ پردا کیساshakl jab bas ga.ī ānkhoñ meñ to chhupnā kaisādil meñ ghar kar ke mirī jān ye pardā kaisā
- عاشق دعا کرے تو یہی اک دعا کرےدو دل ملیں تو پھر نہ جدا ہوں خدا کرےāshiq duā kare to yahī ik duā karedo dil mileñ to phir na judā hūñ ḳhudā kare
- عاشقو پاؤں نہ اکھڑے وہیں ٹھہرے رہناپردہ اٹھتا ہے رخ یار سے سنبھلے رہناāshiqo pā.oñ na ukhṛe vahīñ ṭhahre rahnāparda uṭhtā hai ruḳh yār se sambhale rahnā
- کوئی ارمان مرے دل کا نکلنے نہ دیاشوخیوں نے تری فقرہ بھی تو چلنے نہ دیاkoī armān mire dil kā nikalne na diyāshoḳhiyoñ ne tirī fiqra bhī to chalne na diyā
- مجھ سے دل آپ کا مکدر ہےایسا جینا مجھے بھی دوبھر ہےmujh se dil āp kā mukaddar haiaisā jīnā mujhe bhī dūbhar hai
- واہ کس رنگ پہ ہے رنگ بہار عارضباغ فردوس کا ہر پھول نثار عارضvāh kis rang pe hai rang-e-bahār-e-ārizbāġh firdaus kā har phūl nisār-e-āriz
- ہزاروں راز نہاں ہیں دہن کے پردے میںکروڑوں نکتہ ہیں اک اک سخن کے پردے میںhazāroñ rāz-e-nihāñ haiñ dahan ke parde meñkaroṛoñ nukta haiñ ik ik suḳhan ke parde meñ
- ہوں وہ مومن جسے ایماں سے سروکار نہیںوہ برہمن ہوں جسے حاجت زنار نہیںhūñ vo momin jise īmāñ se sarokār nahīñvo barahman hūñ jise hājat-e-zunnār nahīñ