ہے یہ گل کی اور اس کی آب میں فرق
Qalandar Bakhsh Jurat (1748–1810)ہے یہ گل کی اور اس کی آب میں فرق
جیسے پانی میں اور گلاب میں فرق
لب خوباں کہاں وہ لعل کہاں
ہے بہت شربت اور شراب میں فرق
لاکھ گالی کہی ہے کم مت دے
میں گنوں گا نہ ہو حساب میں فرق
زاہدا زہد تو پڑھا، میں عشق
ہے مری اور تری کتاب میں فرق
اے شرابی گزک تو کرتا ہے
کچھ تو کر دل میں اور کباب میں فرق
آنکھ جب سے کھلی نہ دیکھا کچھ
زندگانی میں اور حباب میں فرق
کچھ نہیں کرتے تم جو شعلے میں
اور اس روئے پر عتاب میں فرق
ہے زمیں آسمان کا یارو
ذرے میں اور آفتاب میں فرق
کیونکہ جرأتؔ ہو شیخ تجھ سا کہ ہے
پیری اور عالم شباب میں فرق
hai ye gul ki aur us ki ab mein farq
jaise pani mein aur gulab mein farq
lab-e-khuban kahan wo laal kahan
hai bahut sharbat aur sharab mein farq
lakh gali kahi hai kam mat de
main ginunga na ho hisab mein farq
zahda zohd to parha, mein ishq
hai miri aur tiri kitab mein farq
ai sharabi gazak to karta hai
kuchh to kar dil mein aur kabab mein farq
ankh jab se khuli na dekha kuchh
zindagani mein aur habab mein farq
kuchh nahin karte tum jo shole mein
aur is roe par itab mein farq
hai zamin asman ka yaro
zarre mein aur aftab mein farq
kyunke jurat ho shaikh tujh sa ke hai
piri aur alam-e-shabab mein farq