Poet
Qaisar Amravatwi
1894–1966
Poems
- آرزوئیں جل گئیں شوق فراواں جل گیابجھ گیا دل زندگی کا ساز و ساماں جل گیاārzūeñ jal ga.īñ shauq-e-farāvāñ jal gayābujh gayā dil zindagī kā sāz-o-sāmāñ jal gayā
- برنگ نکہت گل ہے چمن میں آشیاں اپناکسی کے راز داں ہم ہیں نہ کوئی رازداں اپناbarang-e-nik.hat-e-gul hai chaman meñ āshiyāñ apnākisī ke rāz dāñ ham haiñ na koī rāzdāñ apnā
- خدا کو بھولے نہ جب تک ہمیں خدا نہ ملایہ مدعا بھی بجز ترک مدعا نہ ملاḳhudā ko bhūle na jab tak hameñ ḳhudā na milāye mudda.ā bhī bajuz tark-e-mudda.ā na milā
- شمع محفل ہو کے بھی گرویدۂ محفل نہیںمیں ہوں دنیا میں مگر دنیا میں میرا دل نہیںsham-e-mahfil ho ke bhī girvīda-e-mahfil nahīñmaiñ hūñ duniyā meñ magar duniyā meñ merā dil nahīñ
- عشق کیا ہے غم ہستی کا فنا ہو جاناپیکر خاک کا مٹ مٹ کے خدا ہو جاناishq kyā hai ġham-e-hastī kā fanā ho jānāpaikar-e-ḳhāk kā miṭ miṭ ke ḳhudā ho jānā
- فریب رنگ نہ دے جلوۂ بہار مجھےعزیز تر ہیں چمن میں گلوں سے خار مجھےfareb-e-rang na de jalva-e-bahār mujheazīz tar haiñ chaman meñ guloñ se ḳhār mujhe
- امنگیں دل سے اٹھ اٹھ کر تخیل میں سنورتی ہیںمرے ظلمت کدہ میں عرش سے حوریں اترتی ہیںumangeñ dil se uṭh uṭh kar taḳhayyul meñ sañvartī haiñmire zulmat kada meñ arsh se hūreñ utartī haiñ
- بہت عزیز ہے مجھ کو وطن عزیز وطنوطن کی خاک ہے عنبر مری نگاہوں میںbahut azīz hai mujh ko vatan azīz vatanvatan kī ḳhāk hai ambar mirī nigāhoñ meñ
- تجھ کو بھی کچھ خبر ہے دنیا بنانے والےیہ کارگاہ ہستی بازار اوج و پستیtujh ko bhī kuchh ḳhabar hai duniyā banāne vāleye kārgāh-e-hastī bāzār auj-o-pastī
- نہ اضطراب غزنوی نہ مشرب ایاز ہےنہ خون میں حرارتیں نہ سوز ہے نہ ساز ہےna iztirāb-e-ġhaznavī na mashrab-e-ayāz haina ḳhūn meñ harārateñ na soz hai na sāz hai