Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

P P Srivastava Rind

b. 1950

Poems

Meter
  1. ufuq pe dūdhiyā sāya jo pā.oñ dharne lagāmuhīb rāt kā shīrāza hī bikharne lagā
  2. andhere band kamroñ meñ paṛe theujāle sair par nikle hue the
  3. andhere ḍhūñḍne nikle khanḍar kyūñḳhudā jāne hue ye dar badar kyūñ
  4. aise bhī kuchh lamhe yāro ā.eñgeham mashkūk nazar se dekhe jā.eñge
  5. be ta.alluq rūh kā jab jism se rishta huāghar meñ lā vāris pas manzar kā sannāṭā huā
  6. pesh manzar jo tamāshe the pas manzar bhī theham hī the māl-e-ġhanīmat ham hī ġhārat gar bhī the
  7. rāt ke gumbad meñ yādoñ kā baserā ho gayā haichānd kī qindīl jalte hī ujālā ho gayā hai
  8. raushnī bhar ḳhalā pe bār the hamdhund manzar pas ġhubār the ham
  9. fazā meñ karb kā ehsās gholtī huī rāthavas kī khiṛkiyāñ darvāze kholtī huī rāt
  10. mānā ke zalzala thā yahāñ kam bahut hī kambastī meñ bach ga.e the makāñ kam bahut hī kam
  11. mamtā bharī nigāh ne rokā to ḍar lagājab bhī shikār zain se bāñdhā to ḍar lagā
  12. nishāt dard ke mausam meñ gar namī kam haifazā ke barg-e-shafaq par bhī tāzgī kam hai
  13. nīm ke pattoñ kā zaḳhmoñ ko dhuāñ de dījiyephir mirī ānkhoñ ko pahre dāriyāñ de dījiye
  14. ham dasht be karāñ kī azāñ ho ga.e to kyāvahshat meñ ab kī bār ziyāñ ho ga.e to kyā