Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

مرزا مسیتابیگ منتہی

Poems

Meter
  1. āp ā.e the yāñ jafā ke liyejā.iye bhī kahīñ ḳhudā ke liye
  2. bazm-e-ālam meñ bahut se ham ne māre hāth pā.oñterī sūrat ke na dekhe pyāre pyāre hāth pā.oñ
  3. jān dī un pe mar miṭe siskehaiñ hasīñ log āshnā kis ke
  4. javānī kī hālat guzar jā.egīchaṛhī hai jo sar par utar jā.egī
  5. jaur-e-aflāk baske jhele haiñaise pāpaṛ bahut se bele haiñ
  6. husn kī dil meñ mire jalva girī rahtī haiband is shīsha-e-nāzuk meñ parī rahtī hai
  7. duniyā meñ yahī chūr banātā hai asas koallāh kare qat.a kahīñ dast-e-havas ko
  8. dair-o-haram ko chhoṛ ke ai dil chal baiṭho maiḳhāne meñḳhūb guzar jā.egī apnī sāqī se yārāne meñ
  9. rah ga.e ashkoñ meñ laḳht-e-jigar āte āteruk ga.e bahr se la.al-o-guhar āte āte
  10. sarsar gesū hilā rahī haisar par kāle khulā rahī hai
  11. fuġhān-o-āh se paidā kiyā dard-e-judā.ī koġhazab meñ jān ko ḍālā jatā kar āshnā.ī ko
  12. fuġhān-o-āh hai har dam pukār rakhtā haiġhazab meñ jān-e-dil be qarār rakhtā hai
  13. qātil ālam se kyā yārāna haidil charāġh-e-gor kā parvāna hai
  14. karte haiñ chain baiṭhe husn-o-jamāl vālephirte haiñ māre māre kyā kyā kamāl vāle
  15. kalī jo gul kī chuṭak rahī hai tabī.at apnī khaṭak rahī haijahāñ meñ vahshat bhaṭak rahī hai hazār sar ko paṭak rahī hai
  16. mubtalā ye dil huā jab yār nangā ho gayāsham.a be parda huī qurbāñ patangā ho gayā
  17. mumkin mujhe jo ho be riyā homasnad ho ke is meñ boriyā ho
  18. mansūr pīte hī mai-e-ulfat bahak gayājām-e-mai alast bharā thā chhalak gayā
  19. nafas sag palīd ko gar apne māriyemānind-e-sher dasht-e-jahāñ meñ ḍakārye
  20. hamesha sair-e-gul-o-lāla zār bāqī haiagar baġhal meñ dil dāġhdār bāqī hai
  21. yād hai roz-e-azal us ne kahā kyā kiyā kuchhbar ḳhilāf us ke yahāñ tū ne kiyā kyā kiyā kuchh
  22. ye jis ne jān dī hai nān degādiyā hai jis ne sar sāmān degā
  23. dar pe us shoḳh ke jab jā baiṭhāyār sab kahte haiñ achchhā baiṭhā
  24. sub.h dam uṭh kar tirā pahlū se jānā yād hailauṭnā dil kā jigar kā phaṛphaṛānā yād hai
  25. mīṭhī hai aisī bāt us kīlaunḍī hai ik nabāt us kī