Poet
Mirza Rafi Sauda
مرزا محمد رفیع سودا1713–1781
Poems
- وے صورتیں الٰہی کس ملک بستیاں ہیںاب دیکھنے کو جن کے آنکھیں ترستیاں ہیںve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñab dekhne ko jin ke ānkheñ tarsatiyāñ haiñ
- ہر سنگ میں شرار ہے تیرے ظہور کاموسیٰ نہیں کہ سیر کروں کوہ طور کاhar sang meñ sharār hai tere zuhūr kāmūsā nahīñ ke sair karūñ koh-e-tūr kā
- ہستی کو تری بس ہے میاں گل کی اشارتکافی ہے مرے نالے کو بلبل کی اشارتhastī ko tirī bas hai miyāñ gul kī ishāratkāfī hai mire nāle ko bulbul kī ishārat
- ہندو ہیں بت پرست مسلماں خدا پرستپوجوں میں اس کسی کو جو ہو آشنا پرستhindū haiñ but parast musalmāñ ḳhudā parastpūjoñ meñ is kisī ko jo ho āshnā parast
- یا رب کہیں سے گرمئ بازار بھیج دےدل بیچتا ہوں کوئی خریدار بھیج دےyā rab kahīñ se garmī-e-bāzār bhej dedil bechtā hūñ koī ḳharīdār bhej de
- یوں دیکھ مرے دیدۂ پر آب کی گردشدریا میں ہو جس طرح سے گرداب کی گردشyūñ dekh mire dīda-e-pur āb kī gardishdariyā meñ ho jis tarah se girdāb kī gardish
- اے شیخ حرم تک تجھے آنا جانایہ طوف جلاہے کاہے تانا باناai shaiḳh-e-haram tak tujhe ānā jānāye tauf julāhe kāhe tānā bānā
- سوداؔ شعر میں ہے بڑائی تجھ کوتشریف سخن عرش سے آئی تجھ کوsaudā sher meñ hai baṛā.ī tujh kotashrīf suḳhan arsh se ā.ī tujh ko
- کوتاہ نہ عمر مے پرستی کیجےزلفوں سے تری دراز دستی کیجےkotāh na umr mai parastī kījezulfoñ se tirī darāz dastī kīje
- گر یار کے سامنے میں رویا تو کیامژگاں میں جو لخت دل پرویا تو کیاgar yār ke sāmne meñ royā to kyāmizhgāñ meñ jo laḳht-e-dil piroyā to kyā
- نعت حضرت رسالت علیہ السلام
- اکیلا ہو رہ دنیا میں گر چاہے بہت جیناہوئی ہے فیض تنہائی سے عمر خضر طولانیakelā ho rah duniyā meñ gar chāhe bahut jīnāhuī hai faiz-e-tanhā.ī se umr-e-ḳhizr tūlānī
- بادشاہت دو جہاں کی بھی جو ہووے مجھ کوتیرے کوچے کی گدائی سے نہ کھو دے مجھ کوbādshāhat do jahāñ kī bhī jo hove mujh kotere kūche kī gadā.ī se na kho de mujh ko
- بدلا ترے ستم کا کوئی تجھ سے کیا کرےاپنا ہی تو فریفتہ ہووے خدا کرےbadlā tire sitam kā koī tujh se kyā kareapnā hī to farefta hove ḳhudā kare
- ترا خط آنے سے دل کو میرے آرام کیا ہوگاخدا جانے کہ اس آغاز کا انجام کیا ہوگاtirā ḳhat āne se dil ko mere ārām kyā hogāḳhudā jāne ke is āġhāz kā anjām kyā hogā
- جس روز کسی اور پہ بیداد کرو گےیہ یاد رہے ہم کو بہت یاد کرو گےjis roz kisī aur pe bedād karogeye yād rahe ham ko bahut yād karoge
- دکھاؤں گا تجھے زاہد اس آفت دیں کوخلل دماغ میں تیرے ہے پارسائی کاdikhā.ūñgā tujhe zāhid is āfat deñ koḳhalal dimāġh meñ tere hai pārsā.ī kā
- دل کے ٹکڑوں کو بغل گیر لئے پھرتا ہوںکچھ علاج اس کا بھی اے شیشہ گراں ہے کہ نہیںdil ke ṭukṛoñ ko baġhal gīr liye phirtā hūñkuchh ilāj us kā bhī ai shīsha girāñ hai ke nahīñ
- زاہد سبھی ہیں نعمت حق جو ہے اکل و شربلیکن عجب مزہ ہے شراب و کباب کاzāhid sabhī haiñ nemat haq jo hai akl-o-shurblekin ajab maza hai sharāb-o-kabāb kā
- ساقی گئی بہار رہی دل میں یہ ہوستو منتوں سے جام دے اور میں کہوں کہ بسsāqī ga.ī bahār rahī dil meñ ye havastū minnatoñ se jām de aur maiñ kahūñ ke bas
- سمجھے تھے ہم جو دوست تجھے اے میاں غلطتیرا نہیں ہے جرم ہمارا گماں غلطsamjhe the ham jo dost tujhe ai miyāñ ġhalatterā nahīñ hai jurm hamārā gumāñ ġhalat
- سوداؔ جو بے خبر ہے وہی یاں کرے ہے عیشمشکل بہت ہے ان کو جو رکھتے ہیں آگہیsaudā jo be ḳhabar hai vahī yāñ kare hai aishmushkil bahut hai un ko jo rakhte haiñ āgahī
- سوداؔ جہاں میں آ کے کوئی کچھ نہ لے گیاجاتا ہوں ایک میں دل پر آرزو لیےsaudā jahāñ meñ ā ke koī kuchh na le gayājātā hūñ ek maiñ dil par ārzū liye
- سوداؔ خدا کے واسطے کر قصہ مختصراپنی تو نیند اڑ گئی تیرے فسانے میںsaudā ḳhudā ke vāste kar qissa muḳhtasarapnī to nīnd uṛ ga.ī tere fasāne meñ
- سوداؔ کی جو بالیں پہ گیا شور قیامتخدام ادب بولے ابھی آنکھ لگی ہےsaudā kī jo bālīñ pe gayā shor-e-qayāmatḳhuddām adab bole abhī ānkh lagī hai
- سوداؔ ہوئے جب عاشق کیا پاس آبرو کاسنتا ہے اے دوانے جب دل دیا تو پھر کیاsaudā hue jab āshiq kyā pās-e-ābrū kāsuntā hai ai dīvāne jab dil diyā to phir kyā
- عبث تو گھر بساتا ہے مری آنکھوں میں اے پیارےکسی نے آج تک دیکھا بھی ہے پانی پہ گھر ٹھہراabas to ghar basātā hai mirī ānkhoñ meñ ai pyārekisī ne āj tak dekhā bhī hai pānī pe ghar ṭhahrā
- عشق سے تو نہیں ہوں میں واقفدل کو شعلہ سا کچھ لپٹتا ہےishq se to nahīñ hūñ maiñ vāqifdil ko shola sā kuchh lipaṭṭā hai
- فکر معاش عشق بتاں یاد رفتگاںاس زندگی میں اب کوئی کیا کیا کیا کرےfikr-e-ma.āsh ishq-e-butāñ yād-e-raftagāñis zindagī meñ ab koī kyā kyā kyā kare
- کون کسی کا غم کھاتا ہےکہنے کو غم خوار ہے دنیاkaun kisī kā ġham khātā haikahne ko ġham ḳhvār hai duniyā
- کہیو صبا سلام ہمارا بہار سےہم تو چمن کو چھوڑ کے سوئے قفس چلےkahiyo sabā salām hamārā bahār seham to chaman ko chhoṛ ke sū-e-qafas chale
- کیا کروں گا لے کے واعظ ہاتھ سے حوروں کے جامہوں میں ساغر کش کسی کے ساغر مخمور کاkyā karūñgā le ke vā.iz hāth se hūroñ ke jāmhūñ maiñ sāġhar kash kisī ke sāġhar-e-maḳhmūr kā
- گر ہو شراب و خلوت و محبوب خوب روزاہد قسم ہے تجھ کو جو تو ہو تو کیا کرےgar ho sharāb-o-ḳhalvat-o-mahbūb ḳhūb rūzāhid qasam hai tujh ko jo tū ho to kyā kare
- گلہ لکھوں میں اگر تیری بے وفائی کالہو میں غرق سفینہ ہو آشنائی کاgila lakhoñ meñ agar terī be vafā.ī kālahū meñ ġharq safīna ho āshnā.ī kā
- مت پوچھ یہ کہ رات کٹی کیونکے تجھ بغیراس گفتگو سے فائدہ پیارے گزر گئیmat pūchh ye ke rāt kaṭī kyūñke tujh baġhairis guftugū se fā.ida pyāre guzar ga.ī
- میں نے تم کو دل دیا اور تم نے مجھے رسوا کیامیں نے تم سے کیا کیا اور تم نے مجھ سے کیا کیاmaiñ ne tum ko dil diyā aur tum ne mujhe rusvā kyāmaiñ ne tum se kyā kyā aur tum ne mujh se kyā kyā
- نہ جیا تیری چشم کا مارانہ تری زلف کا بندھا چھوٹاna jiyā terī chashm kā mārāna tirī zulf kā bandhā chhoṭā
- نہ کر سوداؔ تو شکوہ ہم سے دل کی بے قراری کامحبت کس کو دیتی ہے میاں آرام دنیا میںna kar saudā to shikva ham se dil kī be qarārī kāmohabbat kis ko detī hai miyāñ ārām duniyā meñ
- نہیں ہے گھر کوئی ایسا جہاں اس کو نہ دیکھا ہوکنھیا سے نہیں کچھ کم صنم میرا وہ ہرجائیnahīñ hai ghar koī aisā jahāñ us ko na dekhā hokunhayyā se nahīñ kuchh kam sanam merā vo harjā.ī
- ہے مدتوں سے خانۂ زنجیر بے صدامعلوم ہی نہیں کہ دوانے کدھر گئےhai muddatoñ se ḳhāna-e-zanjīr-e-be sadāma.alūm hī nahīñ ke dīvāne kidhar ga.e
- یارو وہ شرم سے جو نہ بولا تو کیا ہواآنکھوں میں سو طرح کی حکایات ہو گئیyāro vo sharm se jo na bolā to kyā huāānkhoñ meñ sau tarah kī hikāyāt ho ga.ī
- یہ تو نہیں کہتا ہوں کہ سچ مچ کرو انصافجھوٹی بھی تسلی ہو تو جیتا ہی رہوں میںye to nahīñ kahtā hūñ ke sach much karo insāfjhūṭī bhī tasallī ho to jītā hī rahoñ maiñ