Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Lais Quraishi

b. 1922

Poems

Meter
  1. itnī mushkil meñ bhī ahbāb na ḍāleñ mujh koke sambhalnā bhī na chāhūñ to sambhāleñ mujh ko
  2. ahl-e-jahāñ ke sāth vafā yā jafā karūñmerī samajh meñ kuchh nahīñ ātā hai kyā karūñ
  3. bārhā yūrish-e-afkār ne sone na diyāfikr-e-āzād hai āzār ne sone na diyā
  4. be qasd safar jāte haiñ ma.alūm nahīñ kyūñphir ḳhud hī ṭhahar jāte haiñ ma.alūm nahīñ kyūñ
  5. tum ne bhūle se kabhī ye nahīñ sochā hogāham jo bichhṛeñge to kyā hāl hamārā hogā
  6. terī jafā huī ke jahāñ kā ġhazab huāham par to jo sitam bhī huā be sabab huā
  7. jo ittifāq se ham sāhab-e-firāsh hueto ham pe rāz azīzāñ bhī ḳhūb fāsh hue
  8. ḳhūb andāz-e-pazīrā.ī haiizzat-e-nafas pe ban ā.ī hai
  9. dil muzmahil hai terī navāzish ke bāvajūdye sarzamīñ udās hai bārish ke bāvajūd
  10. sukūt-e-lab ko mire arz-e-hāl hī samjhomirī anā-e-ḳhafī ko savāl hī samjho
  11. zamīr-o-zehn se kī haiñ baġhāvateñ kyā kiyāmunāfiqoñ se nibhā.eñ rifāqateñ kyā kiyā
  12. umr bhar ḳhvāb-e-mohabbat se na bedār hueisī kirdār se ham sāhab-e-kirdār hue
  13. kisī gumāñ kisī imkāñ kā ruḳh nahīñ kartīnigāh jalva-e-arzāñ kā ruḳh nahīñ kartī
  14. kahīñ se bhī suḳhan-e-motabar nahīñ ātānazar hameñ koī ahl-e-nazar nahīñ ātā
  15. ka.ī payām barā-e-sukūn-e-jāñ to milemagar tamām huī apnī dāstāñ to mile
  16. muskurā saktā nahīñ ānsū bahā saktā nahīñzindagī ab maiñ tire ehsāñ uṭhā saktā nahīñ
  17. nahīñ ye bāt ke parvāz kā irāda nahīñfazā-e-gulshan-e-hastī magar kushāda nahīñ
  18. ye ārzū haiñ ham koī ārzū karteasīr-e-ḳhud ko na ham dām rang-o-bū karte
  19. ye masala hai aur koī masala nahīñapnā harīf meñ hūñ koī dūsrā nahīñ
  20. talḳhāba-e-hayāt piyā hai tamām umrab aur kiyā milā.egā sāqī sharāb meñ
  21. mirī samajh meñ na āyā ye kārobār-e-hayātkahāñ hai naf.a kahāñ hai zarar nahīñ ma.alūm
  22. yahī bahut hai ke zinda haiñ qaid zīst meñ hamye kaisī shām hai kaisī sahar nahīñ ma.alūm