Poet
Kalb-e-husain Nadir
1805–1878
Poems
- اے بت ہیں حسن میں تری مشہور پنڈلیاںایسی کہاں سے لائے پری حور پنڈلیاںai but haiñ husn meñ tirī mashhūr pinḍliyāñaisī kahāñ se lā.e parī hūr pinḍliyāñ
- پھولوں کو اپنے پاؤں سے ٹھکرائے جاتے ہیںمل کر وہ عطر باغ میں اترائے جاتے ہیںphūloñ ko apne pā.oñ se ṭhukrā.e jāte haiñmil kar vo itr bāġh meñ itrā.e jāte haiñ
- تشریف شب وعدہ جو وہ لائے ہوئے ہیںسر خم ہے نظر نیچی ہے شرمائے ہوئے ہیںtashrīf-e-shab va.ada jo vo lā.e hue haiñsar ḳham hai nazar nīchī hai sharmā.e hue haiñ
- دل آنکھوں سے عاشق بچائے ہوئے ہیںہرن کو وہ چیتا بنائے ہوئے ہیںdil ānkhoñ se āshiq bachā.e hue haiñhiran ko vo chītā banā.e hue haiñ
- دل مجھے کفر آشنا نہ کرےبندہ بت کا ہوں میں خدا نہ کرےdil mujhe kufr āshnā na karebanda but kā hūñ maiñ ḳhudā na kare
- روح تنہا گئی جنت کو سبکساری سےچار کے کاندھے اٹھا جسم گرانباری سےrūh tanhā ga.ī jannat ko subuksārī sechār ke kāndhe uṭhā jism girānbārī se
- سر کٹا کر صفت شمع جو مر جاتے ہیںنام روشن وہی آفاق میں کر جاتے ہیںsar kaṭā kar sifat-e-sham.a jo mar jāte haiñnām raushan vahī āfāq meñ kar jāte haiñ
- کوئی پری ہو اگر ہمکنار ہولی میںتو اب کی سال ہو دونی بہار ہولی میںkoī parī ho agar hamkanār holī meñto ab kī sāl ho dūnī bahār holī meñ
- اس قدر محو نہ ہوں آپ خود آرائی میںداغ لگ جائے نہ آئینۂ یکتائی میںis qadar mahv na hūñ āp ḳhud ārā.ī meñdāġh lag jā.e na ā.īna-e-yaktā.ī meñ
- اک بات پر قرار انہیں رات بھر نہیںدو دو پہر جو ہاں ہے تو دو دو پہر نہیںik bāt par qarār unheñ rāt bhar nahīñdo do pahar jo hāñ hai to do do pahar nahīñ
- پورا کریں گے ہولی میں کیا وعدۂ وصالجن کو ابھی بسنت کی اے دل خبر نہیںpūrā kareñge holī meñ kyā va.ada-e-visāljin ko abhī basant kī ai dil ḳhabar nahīñ
- پھر نہ باقی رہے غبار کبھیہولی کھیلو جو خاکساروں میںphir na bāqī rahe ġhubār kabhīholī khelo jo ḳhāksāroñ meñ
- تری تعریف ہو اے صاحب اوصاف کیا ممکنزبانوں سے دہانوں سے تکلم سے بیانوں سےtirī ta.arīf ho ai sāhab-e-ausāf kyā mumkinzabānoñ se dahānoñ se takallum se bayānoñ se
- چالیس جام پی کے دیا ایک جام مےساقی نے خوب راہ نکالی زکوٰۃ کیchālīs jām pī ke diyā ek jām-e-maisāqī ne ḳhūb rāh nikālī zakvāt kī
- چلتی تو ہے پر شوخئ رفتار کہاں ہےتلوار میں پازیب کی جھنکار کہاں ہےchaltī to hai par shoḳhī-e-raftār kahāñ haitalvār meñ pāzeb kī jhankār kahāñ hai
- دریائے شراب اس نے بہایا ہے ہمیشہساقی سے جو کشتی کے طلب گار ہوئے ہیںdariyā-e-sharāb us ne bahāyā hai hameshasāqī se jo kashtī ke talab gār hue haiñ
- سبز کپڑوں میں سیہ زلف کی زیبائی ہےدھان کے کھیت میں کیا کالی گھٹا چھائی ہےsabz kapṛoñ meñ siyah zulf kī zebā.ī haidhān ke khet meñ kyā kālī ghaṭā chhā.ī hai
- لوگ کہتے ہیں کہ فن شاعری منحوس ہےشعر کہتے کہتے میں ڈپٹی کلکٹر ہو گیاlog kahte haiñ ke fan shāyarī manhūs haisher kahte kahte meñ ḍipṭī kalakṭar ho gayā
- ناؤ کاغذ کی تن خاکیٔ انساں سمجھوغرق ہو جائیں گی چھینٹا جو پڑا پانی کاnā.o kāġhaz kī tan-e-ḳhākī-e-insāñ samjhoġharq ho jā.eñgī chhīnṭā jo paṛā pānī kā
- وہ اور مرض ہیں کہ شفا ہوتی ہے جن سےاچھے کہیں ان آنکھوں کے بیمار ہوئے ہیںvo aur maraz haiñ ke shifā hotī hai jin seachchhe kahīñ in ānkhoñ ke bīmār hue haiñ
- ہو گئے رام جو تم غیر سے اے جان جہاںجل رہی ہے دل پر نور کی لنکا دیکھوho ga.e rām jo tum ġhair se ai jān-e-jahāñjal rahī hai dil pur nūr kī lankā dekho
- ہیں دین کے پابند نہ دنیا کے مقیدکیا عشق نے اس بھول بھلیاں سے نکالاhaiñ dīn ke pāband na duniyā ke muqayyadkyā ishq ne is bhūl bhaliyāñ se nikālā