Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Kalb-e-husain Nadir

1805–1878

Poems

Meter
  1. ai but haiñ husn meñ tirī mashhūr pinḍliyāñaisī kahāñ se lā.e parī hūr pinḍliyāñ
  2. phūloñ ko apne pā.oñ se ṭhukrā.e jāte haiñmil kar vo itr bāġh meñ itrā.e jāte haiñ
  3. tashrīf-e-shab va.ada jo vo lā.e hue haiñsar ḳham hai nazar nīchī hai sharmā.e hue haiñ
  4. dil ānkhoñ se āshiq bachā.e hue haiñhiran ko vo chītā banā.e hue haiñ
  5. dil mujhe kufr āshnā na karebanda but kā hūñ maiñ ḳhudā na kare
  6. rūh tanhā ga.ī jannat ko subuksārī sechār ke kāndhe uṭhā jism girānbārī se
  7. sar kaṭā kar sifat-e-sham.a jo mar jāte haiñnām raushan vahī āfāq meñ kar jāte haiñ
  8. koī parī ho agar hamkanār holī meñto ab kī sāl ho dūnī bahār holī meñ