Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Chitransh Khare

b. 1989

Poems

Meter
  1. jo merī chhat kā rasta chānd ne dekhā nahīñ hotāto shāyad chāndnī le kar yahāñ utrā nahīñ hotā
  2. donoñ kī ārzū meñ chamak barqarār haimaiñ is taraf hūñ aur vo dariyā ke pār hai
  3. kā.ināt-e-ārzū meñ ham basar karne lagesab bahut nafrat se kyūñ ham par nazar karne lage
  4. log sāre bhale nahīñ hotehāñ magar sab bure nahīñ hote
  5. mohabbat kī galī se ham jahāñ ho kar nikal ā.ehamāre hāl par koī bhī hotā jī nahīñ pātā
  6. hamāre sabr kā ik imtihān bāqī haiisī liye to abhī tak ye jān bāqī hai
  7. ye hādisa mirī ānkhoñ se gar nahīñ hotāto koī ġham bhī mirā ham safar nahīñ hotā