دونوں کی آرزو میں چمک برقرار ہے
Chitransh Khare (b. 1989)دونوں کی آرزو میں چمک برقرار ہے
میں اس طرف ہوں اور وہ دریا کے پار ہے
دنیا سمجھ رہی ہے کی اس نے بھلا دیا
سچ یہ ہے اس کو اب بھی مرا انتظار ہے
شاید مجھے بھی عشق نے شاداب کر دیا
میرے دل و دماغ میں ہر پل خمار ہے
کیوں میں نے اس کے پیار میں دنیا اجاڑ لی
اس بات سے وہ شخص بہت شرمسار ہے
تو نے ادا سے دیکھ کے مجبور کر دیا
تیر نگاہ دل کے مرے آر پار ہے
دولت سے تو ذرا بھی محبت نہیں مجھے
پھر بھی مرے نصیب میں یہ بے شمار ہے
donon ki arzu mein chamak barqarar hai
main is taraf hun aur wo dariya ke par hai
duniya samajh rahi hai ki us ne bhula diya
sach ye hai us ko ab bhi mira intizar hai
shayad mujhe bhi ishq ne shadab kar diya
mere dil-o-dimagh mein har pal khumar hai
kyun main ne us ke pyar mein duniya ujar li
is bat se wo shakhs bahut sharmsar hai
tu ne ada se dekh ke majbur kar diya
tir-e-nigah-e-dil ke mire ar par hai
daulat se to zara bhi mohabbat nahin mujhe
phir bhi mire nasib mein ye be shumar hai