یوں دور دور دل سے ہو ہو کے دل نشیں بھی
Arzoo Lakhnavi (1873–1951)یوں دور دور دل سے ہو ہو کے دل نشیں بھی
ہیں تو اسی جہاں میں ملتے نہیں کہیں بھی
کم ایک قبر سے ہے مجھ کو یہ کل زمیں بھی
مر رہنے کا ٹھکانا ملتا نہیں کہیں بھی
طوفان بحر خود ہیں بڑھتی امنگیں دل کی
کشتی قرار لے گی ہو کر نہ تہہ نشیں بھی
امکاں کی حد کے اندر کوشش کی حد سے باہر
دل جس کو ڈھونڈھتا ہے وہ ہے بھی اور نہیں بھی
امید دل کی فطرت ہے بے نیاز تسکیں
کم ہو نہ بے قراری آئے اگر یقیں بھی
بیم و رجا سے دل میں دریا کا جزر و مد ہے
ساحل نواز موجیں آئیں بھی اور گئیں بھی
یہ ملتفت نگاہیں شیوہ وغا ہے جن کا
ہیں موجب سکوں بھی ہنگامہ آفریں بھی
کر پہلے دل پہ قابو جامے کی پھر خبر لے
دامن بچانے والے جاتی ہے آستیں بھی
خطرے میں جان جس سے وہ جان سے بھی پیارا
رنگیں عذار شعلہ قاتل بھی ہے حسیں بھی
سرگشتۂ محبت دار محن میں پھر کر
دیکھ آئے گوشہ گوشہ راحت نہیں کہیں بھی
نیرنگیٔ تلون لاحل سا اک معمہ
سمجھے جو تیرے تیور پڑھ لے خط جبیں بھی
شان غرور ان کی تصویر اک رخی ہے
اور آرزو کی نظریں شیدا بھی ہیں حسیں بھی
yun dur dur dil se ho ho ke dil nashin bhi
hain to isi jahan mein milte nahin kahin bhi
kam ek qabr se hai mujh ko ye kal zamin bhi
mar rahne ka thikana milta nahin kahin bhi
tufan-e-bahr-e-khud hain barhti umangen dil ki
kashti qarar legi ho kar na tah nashin bhi
imkan ki had ke andar koshish ki had se bahar
dil jis ko dhundhta hai wo hai bhi aur nahin bhi
ummid-e-dil ki fitrat hai be niyaz taskin
kam ho na be qarari ae agar yaqin bhi
bim-o-raja se dil mein dariya ka jazr-o-mad hai
sahil nawaz maujen aen bhi aur gain bhi
ye multafat nigahen shewa wagha hai jin ka
hain mujib-e-sukun bhi hangama afrin bhi
kar pahle dil pe qabu jame ki phir khabar le
daman bachane wale jati hai astin bhi
khatre mein jan jis se wo jan se bhi pyara
rangin izar-e-shola qatil bhi hai hasin bhi
sargashta-e-mohabbat dar-e-mehan mein phir kar
dekh ae gosha gosha rahat nahin kahin bhi
nairangi-e-talawwun lahal sa ik muamma
samjhe jo tere tewar parh le khat-e-jabin bhi
shan-e-ghurur un ki taswir ik rukhi hai
aur arzu ki nazren shaida bhi hain hasin bhi