Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

آغا حجو شرف

Poems

Meter
  1. āg lagā dī pahle guloñ ne bāġh meñ vo shādābī kīā.ī ḳhizāñ gul zār meñ jab gulbarg se gulḳhan tābī kī
  2. uṛ kar surāġh-e-kūcha-e-dilbar lagā.iyekis tarah donoñ bāzūoñ meñ par lagā.iye
  3. ilāhī ḳhair jo shar vāñ nahīñ to yāñ bhī nahīñtamal is meñ agar vāñ nahīñ to yāñ bhī nahīñ
  4. bulbul kā dil ḳhizāñ ke sadme se hal rahā haigul zār kā muraqqa.a miṭṭī meñ mil rahā hai
  5. pur nūr jis ke husn se madfan thā kaun thāchehra ye kis shahīd kā raushan thā kaun thā
  6. parī paikar jo mujh vahshī kā pairāhan banāte haiñgarebāñ chāk kar dete haiñ be dāman banāte haiñ
  7. tirchhī nazar na ho taraf-e-dil to kyā karūñlailā ke nāpasand ho mahmil to kyā karūñ
  8. tirī galī meñ jo dhonī ramā-e-baiṭhe haiñajal rasīda haiñ marne ko ā.e baiṭhe haiñ
  9. tirī havas meñ jo dil se pūchhā nikal ke ghar se kidhar ko chaliyetaṛap ke bolā jidhar vo nikle shitāb isī rah guzar ko chaliye
  10. tīr-e-nazar se chhid ke dil afgār hī rahānāsūr is meñ sūrat-e-sofār hī rahā
  11. tere ālam kā yār kyā kahnāhar taraf hai pukār kyā kahnā
  12. jashn thā aish-o-tarab kī intihā thī maiñ na thāyār ke pahlū meñ ḳhālī merī jā thī maiñ na thā
  13. javānī ā.ī murād par jab umang jātī rahī bashar kīnasīb hote hī chaudhvīñ shab shikva ruḳhsat huī qamar kī
  14. jo sāmnā bhī kabhī yār ḳhūb rū se huāzamāne bhar kā yarash mujh pe chār sū se huā
  15. chāhiyeñ mujh ko nahīñ zarrīñ qafas kī putliyāñāshiyāñ jānūñ jo hoveñ ḳhār-o-ḳhas kī putliyāñ
  16. chalte haiñ gulshan-e-firdaus meñ ghar lete haiñtai ye manzil jo ḳhudā chāhe to kar lete haiñ
  17. ḳhudā ma.alūm kis kī chānd se tasvīr miṭṭī kījo gorsitāñ meñ hasrat hai garebāñ gīr miṭṭī kī
  18. darpesh ajal hai ganj-e-shahīdāñ ḳharīdiyeturbat ke vāste chamanistāñ ḳharīdiye
  19. dil ko afsos-e-javānī hai javānī ab kahāñkoī dam meñ chal baseñge zindagānī ab kahāñ
  20. dil ko laṭkā liyā hai gesū meñjab vo baiṭheñ haiñ ā ke pahlū meñ
  21. rulvā ke mujh ko yār gunah gār kar nahīñānkheñ haiñ tar to hūñ mirā dāman to tar nahīñ
  22. rang jin ke miṭ ga.e haiñ un meñ yār āne ko haidhūm hai pazhmurda phūloñ meñ bahār āne ko hai
  23. rahā karte haiñ yūñ ushshāq terī yād-o-hasrat meñbase rahte haiñ jaise phūl apnī apnī nik.hat meñ
  24. salaf se log un pe mar rahe haiñ hamesha jāneñ liyā kareñgeyahī karishme huā kiye haiñ yahī karishme huā kareñge
  25. sannāṭe kā ālam qabr meñ hai hai ḳhvāb-e-adam ārām nahīñimkān numūd-e-sub.h nahīñ ummīd charāġh-e-shām nahīñ
  26. ālam meñ hare hoñge ashjār jo maiñ royāgulchīñ nahīñ sīncheñge gul zār jo maiñ royā
  27. ishq-e-dahan meñ guzrī hai kyā kuchh na pūchhiyenā guftnī hai hāl mirā kuchh na pūchhiye
  28. kis ke hāthoñ bik gayā kis ke ḳharīdāroñ meñ hūñkyā hai kyūñ mashhūr meñ saudā.ī bāzāroñ meñ hūñ
  29. gadā.e daulat-e-dīdār-e-yār ham bhī haiñhameñ na bhūliyo umīdvār ham bhī haiñ
  30. ghiste ghiste pā.oñ meñ zanjīr ādhī rah ga.īādhī chhuṭne kī huī tadbīr ādhī rah ga.ī
  31. luṭāte haiñ vo bāġh-e-ishq jā.e jis kā jī chāhegul-e-dāġh-e-tamannā lauṭ lā.e jis kā jī chāhe
  32. mausam-e-gul meñ jo ghar ghar ke ghaṭā.eñ ā.eñhosh uṛ jāte haiñ jin se vo havā.eñ ā.eñ
  33. nāhaq-o-haq kā unheñ ḳhauf-o-ḳhatar kuchh bhī nahīñbe ḳhabar haiñ vo zamāne kī ḳhabar kuchh bhī nahīñ
  34. vo rangat tū ne ai gul rū nikālīnichhāvar ko guloñ ne bū nikālī
  35. ham haiñ ai yār chaṛhā.e hue paimāna-e-ishqtire matvāle haiñ mashhūr haiñ mastāna-e-ishq
  36. huā hai tūr barbādī jo be dastūr pahlū meñdil-e-be tāb ko rahtā hai nāmanzūr pahlū meñ
  37. havas gul zār kī misl-e-anādil ham bhī rakhte thekabhī thā shauq-e-gul ham ko kabhī dil ham bhī rakhte the
  38. hue aise ba dil tire shefta ham dil-o-jāñ ko hamesha nisār kiyārah ishq se phir na haṭā.e qadam rahe mahv tire tujhe pyār kiyā