Poet
آسی غازی پوری
Poems
- اسی کے جلوے تھے لیکن وصال یار نہ تھامیں اس کے واسطے کس وقت بے قرار نہ تھاusī ke jalve the lekin visāl-e-yār na thāmaiñ us ke vāste kis vaqt-e-be qarār na thā
- ایک جلوے کی ہوس وہ دم رحلت بھی نہیںکچھ محبت نہیں ظالم تو مروت بھی نہیںek jalve kī havas vo dam-e-rehlat bhī nahīñkuchh mohabbat nahīñ zālim to muravvat bhī nahīñ
- اے جنوں پھر مرے سر پر وہی شامت آئیپھر پھنسا زلفوں میں دل پھر وہی آفت آئیai junūñ phir mire sar par vahī shāmat ā.īphir phañsā zulfoñ meñ dil phir vahī āfat ā.ī
- پھر مزاج اس رند کا کیونکر ملےجس کو اس کے ہاتھ سے ساغر ملےphir mizāj is rind kā kyūñkar milejis ko us ke hāth se sāġhar mile
- تاب دیدار جو لائے مجھے وہ دل دینامنہ قیامت میں دکھا سکنے کے قابل دیناtāb-e-dīdār jo lā.e mujhe vo dil denāmuñh qayāmat meñ dikhā sakne ke qābil denā
- ترے کوچے کا رہ نما چاہتا ہوںمگر غیر کا نقش پا چاہتا ہوںtire kūche kā rah numā chāhtā hūñmagar ġhair kā naqsh-e-pā chāhtā hūñ
- حرص دولت کی نہ عز و جاہ کیبس تمنا ہے دل آگاہ کیhirs-e-daulat kī na izz-o-jāh kības tamannā hai dil-e-āgāh kī
- روش اس چال میں تلوار کی ہےموت عشاق گنہ گار کی ہےravish is chāl meñ talvār kī haimaut ushshāq gunah gār kī hai
- سارے عالم میں تیری خوشبو ہےاے میرے رشک گل کہاں تو ہےsāre ālam meñ terī ḳhushbū haiai mere rashk-e-gul kahāñ to hai
- قطرہ وہی کہ روکش دریا کہیں جسےیعنی وہ میں ہی کیوں نہ ہوں تجھ سا کہیں جسےqatra vahī ke rūkash-e-dariyā kahīñ jiseya.anī vo maiñ hī kyūñ na hūñ tujh sā kahīñ jise
- کچھ کہوں کہنا جو میرا کیجیےچاہنے والے کو چاہا کیجیےkuchh kahūñ kahnā jo merā kījiyechāhne vāle ko chāhā kījiye
- کلیجا منہ کو آتا ہے شب فرقت جب آتی ہےاکیلے منہ لپیٹے روتے روتے جان جاتی ہےkalejā muñh ko ātā hai shab-e-furqat jab ātī haiakele muñh lapeṭe rote rote jān jātī hai
- نہ میرے دل نہ جگر پر نہ دیدۂ تر پرکرم کرے وہ نشان قدم تو پتھر پرna mere dil na jigar par na dīda-e-tar parkaram kare vo nishān-e-qadam to patthar par
- وہاں پہنچ کے یہ کہنا صبا سلام کے بعدکہ تیرے نام کی رٹ ہے خدا کے نام کے بعدvahāñ pahuñch ke ye kahnā sabā salām ke ba.adke tere nām kī riṭ hai ḳhudā ke nām ke ba.ad
- اتنا تو جانتے ہیں کہ عاشق فنا ہوااور اس سے آگے بڑھ کے خدا جانے کیا ہواitnā to jānte haiñ ke āshiq fanā huāaur is se āge baṛh ke ḳhudā jāne kyā huā
- زخم دل ہم دکھا نہیں سکتےدل کسی کا دکھا نہیں سکتےzaḳhm-e-dil ham dikhā nahīñ saktedil kisī kā dikhā nahīñ sakte
- وہ کیا ہے ترا جس میں جلوا نہیں ہےنہ دیکھے تجھے کوئی اندھا نہیں ہےvo kyā hai tirā jis meñ jalvā nahīñ haina dekhe tujhe koī andhā nahīñ hai
- ہزاروں کی جان لے چکا ہے یہ چہرہ زیر نقاب ہو کرمگر قیامت کرو گے برپا جو نکلو گے بے حجاب ہو کرhazāroñ kī jān le chukā hai ye chehra zer-e-naqāb ho karmagar qayāmat karoge barpā jo nikloge be hijāb ho kar