ہزاروں کی جان لے چکا ہے یہ چہرہ زیر نقاب ہو کر
آسی غازی پوریہزاروں کی جان لے چکا ہے یہ چہرہ زیر نقاب ہو کر
مگر قیامت کرو گے برپا جو نکلو گے بے حجاب ہو کر
شناخت اوس کی ہو سہل کیوں کر کہ جب نہ تب بھیس اک نیا ہو
وہ دن کو خورشید ہو کے نکلے تو رات کو ماہتاب ہو کر
میں دل سے اس شیخ کا ہوں قائل کہ میکدے میں پڑھے تہجد
لگائے مسجد میں نعرے ہو حق کے محو دور شراب ہو کر
فراق میں اس قدر تردد ابھی تمہیں کچھ خبر نہیں ہے
بڑھے گی کچھ اور بے قراری وصال میں کامیاب ہو کر
نہ کر تو اتنی مذمت اس کی بہشت کی چیز ہے یہ واعظ
یہ بلکہ ہے جوش بحر رحمت اگرچہ آیا شراب ہو کر
وہ تھا بدن یا کوئی گل تر پھر اوس کی خوشبو وہ روح پرور
جدھر سے گزرے بسا وہ رستہ بہا پسینہ گلاب ہو کر
جناب ناسخؔ کی یہ ہدایت ہے یاد رکھنا تم اس کو آصیؔ
hazaron ki jan le chuka hai ye chehra zer-e-naqab ho kar
magar qayamat karoge barpa jo nikloge be hijab ho kar
shanakht os ki ho sahl kyun kar ke jab na tab bhes ik naya ho
wo din ko khurshid ho ke nikle to rat ko mahtab ho kar
main dil se is shaikh ka hun qail ke maikade mein parhe tahajjud
lagae masjid mein naare ho haq ke mahw daur-e-sharab ho kar
firaq mein is qadar taraddud abhi tumhen kuchh khabar nahin hai
barhegi kuchh aur be qarari wisal mein kamyab ho kar
na kar to itni mazammat us ki bahisht ki chiz hai ye waiz
ye balke hai josh-e-bahr-e-rahmat agarche aya sharab ho kar
wo tha badan ya koi gul-e-tar phir os ki khushbu wo ruh parwar
jidhar se guzre basa wo rasta baha pasina gulab ho kar
janab nasikh ki ye hidayat hai yad rakhna tum us ko asi