Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Tabish Raihan

b. 1986

Poems

Meter
  1. āj kā jo kām thā kal par uṭhā kar rakh diyāmaiñ ne yūñ har qīmtī mauqa.a gañvā kar rakh diyā
  2. pyār kā dushman sārā zamāna kal bhī thā aur āj bhī haiduniyā badlī mausam badlā lekin merā yār nahīñ
  3. chhoṛ ke farzānoñ kī mahfil tanhā is dīvāne kohazrat nāseh kyūñ ā jāte haiñ aksar samjhāne ko
  4. dushman mire pīchhe hai to dariyā mire āgeab koī bachā hī nahīñ rasta mire āge
  5. raunaq jahāñ kī sach hai faqat ādmī se hailekin nizām-e-dahr bhī bar.ham usī se hai
  6. sabhī do ghaṛī ke haiñ mehmāñ yahāñ roz kis kā qayām haijo vafā kī rāh meñ miṭ ga.ī isī zindagī ko davām hai
  7. kisī ke ānkh dikhāne se kuchh nahīñ hogāham ahl haq haiñ ḍarāne se kuchh nahīñ hogā
  8. gesū-e-hosh-o-matānat ko bikharne na diyāmaiñ ne chāhat ko kabhī had se guzarne na diyā
  9. nā ahl aur nikamme sivā us ke kyā kareñbaiṭhe har ek shaḳhs pe bas tabsira kareñ
  10. ham na kaheñge ḳhud hī batā.o kyā ye achchhā karte hophūl se nāzuk jism ke andar patthar sā dil rakhte ho