Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

شوق قدوائی

Poems

Meter
  1. abrū hai ka.aba āj se ye nām rakh diyāham ne uṭhā ke tāq pe islām rakh diyā
  2. bhāge achchhī shakloñ vāle ishq hai goyā kām burāapnī hālat kyā maiñ batā.ūñ bad achchhā badnām burā
  3. thā band vo dar phir bhī maiñ sau bār gayā thāmānind huā phānd ke dīvār gayā thā
  4. terī sī bhī āfat koī ai sozish tab haiik āg hai so itnī jalan āg meñ kab hai
  5. jafā pe shukr kā umīdvār kyūñ āyāmirī vafā kā use etibār kyūñ āyā
  6. dil khoṭā hai ham ko us se rāz-e-ishq na kahnā thāghar kā bhedī lankā ḍhā.e itnā samjhe rahnā thā
  7. dil mirā ṭūṭā to us ko kuchh malāl ā hī gayāapne bachpan ke khilaune kā ḳhayāl ā hī gayā
  8. rūh ko āj nāz hai apnā vaqār dekh karus ne chaṛhā.eñ tevriyāñ merā qarār dekh kar
  9. lab chup haiñ to kyā dil gila pardāz nahīñ haisab kuchh hai ḳhamoshī meñ ik āvāz nahīñ hai
  10. māre ġhusse ke ġhazab kī tāb ruḳhsāroñ meñ haikal to thī phūloñ meñ gintī āj angāroñ meñ hai
  11. vo le ke dil ko ye sochī kahīñ jigar bhī hainazar ṭaṭol rahī hai ke kuchh idhar bhī hai
  12. huī yā mujh se nafrat yā kuchh is meñ kibr-o-nāz āyākabhī vo muskurā detā thā ab us se bhī bāz āyā
  13. fariyād aur tujh ko sitam gar kahe baġhairmānūñ na hashr meñ tire muñh par kahe baġhair