وہ لے کے دل کو یہ سوچی کہیں جگر بھی ہے
شوق قدوائیوہ لے کے دل کو یہ سوچی کہیں جگر بھی ہے
نظر ٹٹول رہی ہے کہ کچھ ادھر بھی ہے
ہنسو نہ کھول کے زلفیں بلا نصیبوں پر
بلا نصیب جہاں میں تمہارا سر بھی ہے
وہ بگڑے سن کے مگر سن تو لی ہماری آہ
یہ بے اثر ہی نہیں بلکہ با اثر بھی ہے
جنون کو وہ بناوٹ سمجھ رہا ہے ابھی
یہ سن لیا ہے کسی سے کہ میرے گھر بھی ہے
فراق میں یہ نیا تجربہ ہوا مجھ کو
کہ ایک رات زمانے میں بے سحر بھی ہے
یہ کہہ کے حشر سے بھاگا میں اپنا جی لے کر
الٰہی خیر یہاں تو وہ فتنہ گر بھی ہے
مجھے تو آپ میں اس وقت تم نہیں ملتے
کہاں ہو شوقؔ کچھ اپنی تمہیں خبر بھی ہے
wo le ke dil ko ye sochi kahin jigar bhi hai
nazar tatol rahi hai ke kuchh idhar bhi hai
hanso na khol ke zulfen bala nasibon par
bala nasib jahan mein tumhara sar bhi hai
wo bigre sun ke magar sun to li hamari ah
ye be asar hi nahin balke ba asar bhi hai
junun ko wo banawat samajh raha hai abhi
ye sun liya hai kisi se ke mere ghar bhi hai
firaq mein ye naya tajriba hua mujh ko
ke ek rat zamane mein be sahar bhi hai
ye kah ke hashr se bhaga mein apna ji le kar
ilahi khair yahan to wo fitna gar bhi hai
mujhe to ap mein is waqt tum nahin milte
kahan ho shauq kuchh apni tumhen khabar bhi hai