Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

S. Nooruddin Anwar Bhopali

Poems

Meter
  1. us but kī zabāñ par lo anvar phir āj tumhārā nām āyākyā jazb-e-mohabbat jāg uṭhā kyā josh-e-junūñ phir kām āyā
  2. tirī nigāh ke qābil nahīñ to kuchh bhī nahīñye dil ḳhudā kī qasam dil nahīñ to kuchh bhī nahīñ
  3. ishq meñ chūr bhī hūñ pairo-e-mansūr bhī hūñya.anī maiñ tūr bhī hūñ barq-e-sar-e-tūr bhī hūñ
  4. lipaṭ kar so rahā hūñ lazzat-e-dard-e-mohabbat seye ishrat ba.ad murdan ḳhāk meñ miltī hai qismat se
  5. maza alam meñ nahīñ lutf soz-e-jāñ meñ nahīñsabab ye hai ke tapish parda-e-fuġhāñ meñ nahīñ
  6. na koī naġhma hūñ na sāz ḳhush navā hūñ maiñshikast-e-shīsha-e-dil kī magar sadā hūñ maiñ
  7. na lā.e dekhne kī tāb-e-jalva dekhne vāletamāshā ban ga.e ḳhud hī tamāshā dekhne vāle
  8. hai mere sāmne tasvīr chashm-e-yār hanozmaiñ pī rahā hūñ mai-e-husn bār bār hanoz