Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Pallav Mishra

b. 1998

Poems

Meter
  1. bandh jā.eñ sāmān tanābeñ khul jā.eñkāsh ḳhudā par merī duā.eñ khul jā.eñ
  2. tumhārī duniyā ke bāhar andar bhaṭak rahā hūñmaiñ ba.ad tark-e-jahāñ yahīñ par bhaṭak rahā hūñ
  3. tumheñ ānsū bahāne ko bhī mil jā.eñ ka.ī kandhemagar mujh ko aziyyat meñ pareshāñ kaun dekhegā
  4. sabāt dil thā magar beqarār ho gayā thāvo nūr merī harārat se nār ho gayā thā
  5. duniyā jahāñ ke jām chhalak jā.eñ ret parkyā kījiye ke honṭ bahak jā.eñ ret par
  6. ḍarte the isī sabza ābā.ī se pahlechehre pe maseñ phūṭ paṛeñ kā.ī se pahle
  7. qarīb āne lagā vo to rāt gahrī huīvo rāt ṭhahrī rahī jab talak dopaharī huī
  8. kuchh aise do jahāñ se rābta rakhā gayā haike un ḳhvābīda ānkhoñ ko khulā rakhā gayā hai
  9. lahū meñ ghul ghul ke bah rahe the ragoñ ke andarham apnī miṭṭī meñ kuchh ravānī bachā rahe the
  10. nahīñ thā koī gila āg ko ravānī sehuā thī jis ne liyā intiqām pānī se
  11. vo bār farz takalluf mujhī ko ḍhonā paṛāuse rulāne kī ḳhātir mujhe bhī ronā paṛā
  12. ānsūoñ meñ mire kāndhe ko ḍubone vālepūchh to le ke mire jism kā sahrā hai kahāñ
  13. tire laboñ meñ mire yār zā.iqa nahīñ haihazār bose haiñ un par pe ik duā nahīñ hai
  14. tamām farq mohabbat meñ ek bāt ke haiñvo apnī zāt kā na.īñ hai ham us kī zāt ke haiñ
  15. tamām hosh zabt ilm maslahat ke ba.ad bhīphir ik ḳhatā meñ kar gayā thā ma.azarat ke ba.ad bhī
  16. شہر جاں میں وباؤں کا اک دور تھامیں ادائے تنفس میں کمزور تھا
  17. makīn-e-dil ko ḳhānumāñ ḳharāb se ishq thāqayām ḍhūñḍhtā rahā tumhārī chhat ke ba.ad bhī
  18. maiñ apnī maut se ḳhalvat meñ milnā chāhtā hūñso merī nā.o meñ bas meñ hūñ nāḳhudā nahīñ hai
  19. vo nasha hai ke zabāñ aql se kartī hai farebtū mirī bāt ke mafhūm pe jātā hai kahāñ
  20. hamārā kām to mausam kā dhyān karnā haiaur is ke ba.ad ke sab kām shash jihāt ke haiñ
  21. ye jism tang hai sīne meñ bhī lahū kam haidil ab vo phūl hai jis meñ ke rang-o-bū kam hai
  22. ye tai huā thā ke ḳhūb roeñge jab mileñgeab us ke shāne pe sar hai to hañste jā rahe haiñ