Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Pallav Mishra

b. 1998

Poems

Meter
  1. ānsūoñ meñ mire kāndhe ko ḍubone vālepūchh to le ke mire jism kā sahrā hai kahāñ
  2. tire laboñ meñ mire yār zā.iqa nahīñ haihazār bose haiñ un par pe ik duā nahīñ hai
  3. tamām farq mohabbat meñ ek bāt ke haiñvo apnī zāt kā na.īñ hai ham us kī zāt ke haiñ
  4. tamām hosh zabt ilm maslahat ke ba.ad bhīphir ik ḳhatā meñ kar gayā thā ma.azarat ke ba.ad bhī
  5. شہر جاں میں وباؤں کا اک دور تھامیں ادائے تنفس میں کمزور تھا
  6. makīn-e-dil ko ḳhānumāñ ḳharāb se ishq thāqayām ḍhūñḍhtā rahā tumhārī chhat ke ba.ad bhī
  7. maiñ apnī maut se ḳhalvat meñ milnā chāhtā hūñso merī nā.o meñ bas meñ hūñ nāḳhudā nahīñ hai
  8. vo nasha hai ke zabāñ aql se kartī hai farebtū mirī bāt ke mafhūm pe jātā hai kahāñ
  9. hamārā kām to mausam kā dhyān karnā haiaur is ke ba.ad ke sab kām shash jihāt ke haiñ
  10. ye jism tang hai sīne meñ bhī lahū kam haidil ab vo phūl hai jis meñ ke rang-o-bū kam hai
  11. ye tai huā thā ke ḳhūb roeñge jab mileñgeab us ke shāne pe sar hai to hañste jā rahe haiñ