Poet
Naseer Turabi
نصیر ترابی1945–2021
Poems
- اس کڑی دھوپ میں سایہ کر کےتو کہاں ہے مجھے تنہا کر کےis kaṛī dhūp meñ sāya kar ketū kahāñ hai mujhe tanhā kar ke
- انجیل رفتگاں کی حدیثوں کے ساتھ ہوںعیسیٰ نفس ہوں اور صلیبوں کے ساتھ ہوںinjīl raftagāñ kī hadīsoñ ke sāth hūñīsā nafas hūñ aur salīboñ ke sāth hūñ
- درد کی دھوپ سے چہرے کو نکھر جانا تھاآئنہ دیکھنے والے تجھے مر جانا تھاdard kī dhūp se chehre ko nikhar jānā thāā.īna dekhne vāle tujhe mar jānā thā
- دیا سا دل کے خرابے میں جل رہا ہے میاںدیے کے گرد کوئی عکس چل رہا ہے میاںdiyā sā dil ke ḳharābe meñ jal rahā hai miyāñdiye ke gard koī aks chal rahā hai miyāñ
- دیکھ لیتے ہیں اب اس بام کو آتے جاتےیہ بھی آزار چلا جائے گا جاتے جاتےdekh lete haiñ ab is bām ko āte jāteye bhī āzār chalā jā.egā jāte jāte
- رچے بسے ہوئے لمحوں سے جب حساب ہواگئے دنوں کی رتوں کا زیاں ثواب ہواrache base hue lamhoñ se jab hisāb huāga.e dinoñ kī rutoñ kā ziyāñ savāb huā
- سکوت شام سے گھبرا نہ جائے آخر تومرے دیار سے گزری جو اے کرن پھر توsukūt-e-shām se ghabrā na jā.e āḳhir tomire dayār se guzrī jo ai kiran phir to
- صبا کا نرم سا جھونکا بھی تازیانہ ہوایہ وار مجھ پہ ہوا بھی تو غائبانہ ہواsabā kā narm sā jhonkā bhī tāziyāna huāye vār mujh pe huā bhī to ġhā.ibāna huā
- کوئی آواز نہ آہٹ نہ خیال ایسے میںرات مہکی ہے مگر جی ہے نڈھال ایسے میںkoī āvāz na āhaṭ na ḳhayāl aise meñrāt mahkī hai magar jī hai niḍhāl aise meñ
- مثل صحرا ہے رفاقت کا چمن بھی اب کےجل بجھا اپنے ہی شعلوں میں بدن بھی اب کےmisl-e-sahrā hai rifāqat kā chaman bhī ab kejal bujhā apne hī sholoñ meñ badan bhī ab ke
- مرہم وقت نہ اعجاز مسیحائی ہےزندگی روز نئے زخم کی گہرائی ہےmarham-e-vaqt na ejāz-e-masīhā.ī haizindagī roz na.e zaḳhm kī gahrā.ī hai
- ملنے کی طرح مجھ سے وہ پل بھر نہیں ملتادل اس سے ملا جس سے مقدر نہیں ملتاmilne kī tarah mujh se vo pal bhar nahīñ miltādil us se milā jis se muqaddar nahīñ miltā
- میں بھی اے کاش کبھی موج صبا ہو جاؤںاس توقع پہ کہ خود سے بھی جدا ہو جاؤںmaiñ bhī ai kāsh kabhī mauj-e-sabā ho jā.ūñis tavaqqo pe ke ḳhud se bhī judā ho jā.ūñ
- وہ ہم سفر تھا مگر اس سے ہم نوائی نہ تھیکہ دھوپ چھاؤں کا عالم رہا جدائی نہ تھیvo ham safar thā magar us se ham navā.ī na thīke dhūp chhā.oñ kā ālam rahā judā.ī na thī
- ہمرہی کی بات مت کر امتحاں ہو جائے گاہم سبک ہو جائیں گے تجھ کو گراں ہو جائے گاhamrahī kī bāt mat kar imtihāñ ho jā.egāham subuk ho jā.eñge tujh ko girāñ ho jā.egā
- تجھے کیا خبر مرے بے خبر مرا سلسلہ کوئی اور ہےجو مجھی کو مجھ سے بہم کرے وہ گریز پا کوئی اور ہےtujhe kyā ḳhabar mire be ḳhabar mirā silsila koī aur haijo mujhī ko mujh se baham kare vo gurez pā koī aur hai