Poet
Naeem Naaz
Poems
- اداس کمرے کے کونے کونے میں جیسے غصہ پڑا ہوا ہےیہ کپ میں چائے نہیں ہے پرسوں سے ایک لمحہ پڑا ہوا ہےudās kamre ke kone kone meñ jaise ġhussa paṛā huā haiye kap meñ chā.e nahīñ hai parsoñ se ek lamha paṛā huā hai
- اسے چھپا لیا تھا میں نے آنکھ میںیہ لوگ خواب میں بھی جھانکنے لگےuse chhupā liyā thā maiñ ne ānkh meñye log ḳhvāb meñ bhī jhāñkne lage
- عجیب منطق ہے اس کو سوچیں گے خوش رہیں گےہم اپنی آنکھوں میں دھول جھونکیں گے خوش رہیں گےajīb mantiq hai us ko socheñge ḳhush raheñgeham apnī ānkhoñ meñ dhūl jhonkeñge ḳhush raheñge
- کوئی رشتہ ترے پیمان سے جوڑا جائےاب مرے ہجر کو عنوان سے جوڑا جائےkoī rishta tire paimān se joṛā jā.eab mire hijr ko unvān se joṛā jā.e
- ہوا بدن میں کسی یاد کی چلی جب بھیمجھے لگا مجھے چھو کر گزر گیا ہے کوئیhavā badan meñ kisī yād kī chalī jab bhīmujhe lagā mujhe chhū kar guzar gayā hai koī
- یہ کینوس پہ جو زرد چہرہ بنا رہے ہیںتمہیں خبر ہو خزاں کا نقشہ بنا رہے ہیںye kainvas pe jo zard chehra banā rahe haiñtumheñ ḳhabar ho ḳhizāñ kā naqsha banā rahe haiñ