Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

میر تسکین دہلوی

Poems

Meter
  1. us ko maiñ hue ham vo lab-e-bām na āyāai jazba-e-dil tū bhī kisī kām na āyā
  2. be mehr kahte ho use jo be vafā nahīñsach hai ke be vafā hūñ maiñ tum be vafā nahīñ
  3. to kyūñ pās se uṭh chalā baiṭhe baiṭhehavā tujh ko kyā be vafā baiṭhe baiṭhe
  4. dil kis kī teġh-e-nāz se lazzat chashīda haihar zaḳhm-e-shauq se lab-e-hasrat gazīda hai
  5. rahne vāloñ ko tire kūche ke ye kyā ho gayāmere āte hī yahāñ hangāma barpā ho gayā
  6. farq kuchh to chāhiye aġhyār sesar-e-ulfat ham chhupā.eñ yār se
  7. kar sake dafn na us kūcha meñ ahbāb mujheḳhāk meñ dil kī kudūrat ne diyā dāb mujhe
  8. kyā kyā maze se rāt kī ahd-e-shabāb meñchhoṛūñ na umr-e-rafta gar ā jā.e ḳhvāb meñ
  9. gar mere baiṭhne se vo āzār khīñchtetū apne dar kī ā ke vo dīvār khīñchte
  10. nām loge jo yāñ se jāne kāāp meñ phir nahīñ maiñ āne kā
  11. hue the bhāg ke parde meñ tum nihāñ kyūñkarvo pahlī vasl kī shab shoḳhiyāñ thīñ hāñ kyūñkar