Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ibrahim Ashk

b. 1951

Poems

Meter
  1. us kī ik duniyā hūñ maiñ aur merī ik duniyā hai vodasht meñ tanhā hūñ maiñ aur shahr meñ tanhā hai vo
  2. anā ne ṭūṭ ke kuchh faisla kiyā hī nahīñbayān apnā kabhī mudda.ā kiyā hī nahīñ
  3. tirī zamīñ se uṭheñge to āsmāñ hoñgeham aise log zamāne meñ phir kahāñ hoñge
  4. duniyā luṭī to dūr se taktā hī rah gayāānkhoñ meñ ghar ke ḳhvāb kā naqsha hī rah gayā
  5. dekhā to koī aur thā sochā to koī aurjab ā ke milā aur thā chāhā to koī aur
  6. rāt bhar tanhā rahā din bhar akelā meñ hī thāshahr kī ābādiyoñ maiñ apne jaisā meñ hī thā
  7. rūbarū un ke koī harf adā kyā kartedard to ham ko chhupānā thā sadā kyā karte
  8. zindagī vādī-o-sahrā kā safar hai kyūñ haiitnī vīrān mirī rāhguzar hai kyūñ hai
  9. shīshe kā ādmī hūñ mirī zindagī hai kyāpatthar haiñ sab ke hāth meñ mujh ko kamī hai kyā
  10. kareñ salām use to koī javāb na deilāhī itnā bhī us shaḳhs ko hijāb na de
  11. gulshan meñ le ke chal kisī sahrā meñ le ke chalai dil magar sukūn kī duniyā meñ le ke chal
  12. laboñ par pyās ho to ās ke bādal bhare rakhiyosarāboñ ke safar meñ is tarah gulshan hare rakhiyo
  13. mujhe na dekho mire jism kā dhuāñ dekhojalā hai kaise ye ābād sā makāñ dekho
  14. mohabbatoñ meñ jo miṭ miṭ ke shāhkār huāvo shaḳhs kitnā zamāne meñ yādgār huā
  15. mashal bakaf kabhī to kabhī dil badast thāmaiñ sail-e-tīrgī meñ tajallī parast thā
  16. maiñ kab rahīn-e-reg bayābān-e-yās thāsad ḳhema-e-bahār mire ās pās thā
  17. na kū-e-yār meñ ṭhahrā na anjuman meñ rahāadā-e-nāz se ye dil sarā.e fan meñ rahā