Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Ghaus Mohammad Ghausi

b. 1927

Poems

Meter
  1. ab to ḳhud se bhī kuchh aisā hai bashar kā rishtajaise parvāz se ṭūṭe hue par kā rishta
  2. tumhārā dil to hamāre sabhā.o jaisā haihaṭā ke chehre se chehra dikhā.o jaisā hai
  3. jo misl-e-tīr chalā thā kamān sā ḳham hainigāh-e-dost meñ tāsīr ism-e-a.azam hai
  4. hisār-e-kāsa-e-sar toṛ kar nikal ā.etalab huī thī to sajdoñ ke par nikal ā.e
  5. hayāt-e-ishq ko itnā to nūr fām kareñmaha-o-nujūm adab se jise salām kareñ
  6. sab kuchh to zindagī kī matā-e-safar meñ haijab tum nazar meñ ho to zamāna nazar meñ hai
  7. ġhurūr-e-jalva-e-irfāñ hai dekhiye kyā hobaṛe andhere meñ insāñ hai dekhiye kyā ho
  8. ġhurūr-e-nāz dikhā tujh meñ kitnā jauhar haimirā ḳhulūs bhī dariyā nahīñ samundar hai
  9. muntashir shahzād gān-e-dil kā shīrāza na hokāsh yāroñ kī hañsī fitnoñ kā ġhamāza na ho
  10. na hote shād ā.īn-e-gulistāñ dekhne vālefasāna bhī agar paṛh lete unvāñ dekhne vāle
  11. vo yaqīñ paikar hai kis kā nūr-e-dīda kaun haizulmat-e-shab meñ charāġh āsā damīda kaun hai
  12. har chand abhī ḳhud par zāhir meñ aur mire ahbāb nahīñyāroñ pe fidā hone vāle kam yāb sahī nāyāb nahīñ