سب کچھ تو زندگی کی متاع سفر میں ہے
Ghaus Mohammad Ghausi (b. 1927)سب کچھ تو زندگی کی متاع سفر میں ہے
جب تم نظر میں ہو تو زمانہ نظر میں ہے
یوں بھی تو سوچ ناز کش حسن دوستاں
تیرا بھی کچھ مقام کسی کی نظر میں ہے
پڑھ لیتے ہیں وہ سب کی نظر سے دلوں کا حال
اندر سے کون کیا ہے سب ان کی نظر میں ہے
کیوں ہو رہا ہے تجزیۂ جور ناروا
تصویر کا یہ رخ بھی کسی کی نظر میں ہے
یارو شکار وقت ہوں یا آسماں شکار
جو کچھ بھی ہوں سب اہل نظر کی نظر میں ہے
اب کیا شکایت روش دوستاں کروں
غوثیؔ مری کمی بھی تو میری نظر میں ہے
sab kuchh to zindagi ki mata-e-safar mein hai
jab tum nazar mein ho to zamana nazar mein hai
yun bhi to soch naz kash-e-husn-e-dostan
tera bhi kuchh maqam kisi ki nazar mein hai
parh lete hain wo sab ki nazar se dilon ka hal
andar se kaun kya hai sab un ki nazar mein hai
kyun ho raha hai tajziya-e-jaur-e-narawa
taswir ka ye rukh bhi kisi ki nazar mein hai
yaro shikar waqt hun ya asman shikar
jo kuchh bhi hun sab ahl-e-nazar ki nazar mein hai
ab kya shikayat rawish dostan karun
ghausi miri kami bhi to meri nazar mein hai