Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Daud Nishat

1929–1992

Poems

Meter
  1. jab tak ke dil meñ jazba-e-dīvāngī na holazzat kash-e-hayāt-e-vafā be ḳhudī na ho
  2. raushnī kab thī mire dāġh-e-jigar se pahleus ne pā.ī hai ziyā shams-o-qamar se pahle
  3. zindagī ko maut kī zad par jo lā saktā nahīñmaut ke āġhosh meñ vo muskurā saktā nahīñ
  4. sukūn-e-dil ko nazar ko mirī qarār nahīñye ek marg musalsal hai intizār nahīñ
  5. kab havas kāroñ ne duniyā ke dahāne dekheḍūbne ke jo the duniyā meñ ṭhikāne dekhe
  6. laġhzish se rahnumā.oñ kī jab ham sambhal ga.emanzil qarīb ā.ī to raste badal ga.e
  7. mānā rah-e-hayāt meñ tanhā hayāt haimahsūs ho rahā hai koī sāth sāth hai
  8. mahdūd hai ye vusat-e-ālam bhī nazar meñgum ho gayā hūñ aisā tirī rāh guzar meñ
  9. mirā vajūd samundar nahīñ maiñ qatra hūñhar ek mauj kī āġhosh meñ machaltā hūñ
  10. vo mirā kasrat-e-anvār se hairāñ honāhar taraf tūr bakaf un kā numāyāñ honā