Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Badiuzzaman Sahar

b. 1944

Poems

Meter
  1. ik tirā tasavvur hī āḳhirī sahārā haivarna dil kā ā.īna kab se pāra pāra hai
  2. buqa-e-nūr har ik rāh guzar ho jā.evo mirī rāt se guzre to sahar ho jā.e
  3. tirī mahfil se jo uṭh jā.eñge mehr-o-vafā vāletū pūchhegā tujhe phir kaun ai jaur-o-jafā vāle
  4. sahar ye nadī hai ānsūoñ kī na pūchh us kā bahā.o pyāreke us ke tūfān mauj-e-ġham meñ bachchegī kyā dil kī nā.o pyāre
  5. sīne meñ armān kī gangā ānkhoñ meñ jamunā kā hai jallekin dil ke tāj mahal meñ koī nahīñ mumtāz mahal
  6. sharāb-e-arġhavānī ḳham meñ rakhī thī na mene meñye kis kā ḳhūn hai sāqī batā is ābgīne meñ
  7. zarb tāza kārī hai hādisa purānā haisang nau ke narġhe meñ phir vahī dīvāna hai
  8. kisī kā shīsha-e-dil toṛ kar jāyā nahīñ kartemakīn-e-dil makāñ ko is tarah ḍhāyā nahīñ karte
  9. khole hue gesū ho pareshān lago hois dil kī tarah tum bhī mirī jān lago ho
  10. mirī ḳhatā se baṛī terī darguzar hogīto phir duā mirī kāhe ko be asar hogī
  11. mire dard kī kahānī tire jaur kā fasānahai lahū tarang naġhma ye nishāt gīñ tarāna
  12. mire har nafas meñ basā hai to mire fikr-o-fan meñ qayām haike kitāb-e-dil ke varaq varaq meñ likhā huā tirā nām hai
  13. masām-e-sang se is dam pasīne ḳhūñ ke chalte haiñkafan bardosh jab ham kū-e-qātil meñ nikalte haiñ
  14. ho pyās salāmat mai gulfām bahut haimai ḳhāna bahut sāqī bahut jām bahut hai
  15. ye merā shīsha-e-dil be misāl hai pyāredikhā.ī de hai kahāñ jitnā bāl hai pyāre