Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Yasmeen Sahar

b. 1968

Poems

Meter
  1. jab ek ḳhauf sā marne kā sar pe baiṭh gayāajīb sāya nuhūsat kā ghar pe baiṭh gayā
  2. ḳhayāl andar hī andar mar gayā haitirā ġham mujh ko pāgal kar gayā hai
  3. dhuāñ uṛātī huī dhīmī dhīmī bārish haihavā kī andhī savārī pe andhī bārish hai
  4. suḳhan meñ ḍūb kar afkār ke andar se niklī hūñbaṛī mushkil se maiñ kirdār ke andar se niklī hūñ
  5. qatār jugnūoñ kī raushnī luṭātī rahīmaiñ rang gūndh ke titlī ke par banātī rahī
  6. kuchh us pe sochnā thā mashvara bhī karnā thāmu.āmle pe abhī tabsira bhī karnā thā
  7. mujh pe ṭūṭī jo siyah rāt batāne kī nahīñya.anī ye gardish-e-hālāt batāne kī nahīñ
  8. mere lafzoñ se chalī bāt mire lafzoñ kītai huī mujh se mulāqāt mire lafzoñ kī