Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Tahir Saood Kiratpuri

b. 1993

Poems

Meter
  1. us kī rahmat kar rahī hai us ke roze kā tavāfye jo bachcha kar rahā hai sūkhe ṭukṛe kā tavāf
  2. talḳh lahja jis kī fitrat hai isī nārī kā bojhmaiñ uṭhā.e phir rahā hūñ zīst bechārī kā bojh
  3. jo andherī chhat pe ḳhayāl haiñ unheñ raushnī meñ utār leye jo husn hai tirī soch meñ use shāyarī meñ utār le
  4. jhūṭ kī poshāk par paivand kārī kab talakham se āḳhir ye batā.o hoshyārī kab talak
  5. qāfiya par qāfiya hazrat raqam karte ga.eaur ġhazal ke hāth pairoñ ko qalam karte ga.e
  6. kisī kāġhaz ke sīne par ye jazba darj kar denāmire bhā.ī ke haq meñ merā hissa darj kar denā
  7. maiñ ne rishtoñ se na baṛh kar kabhī paisa samjhātū ne paisoñ se na baṛh kar kabhī rishta samjhā
  8. hamāre shahr meñ ghar is liye sunsān rahte haiñke ghar ghar ḳhauf se sahme hue insān rahte haiñ