Poet
Qalandar Bakhsh Jurat
شیخ قلندر بخش جرات1748–1810
Poems
- گزر اس حجرۂ گردوں سے ہو کیدھر اپناقید خانہ ہے عجب گنبد بے در اپناguzar is hujra-e-gardūñ se ho kīdhar apnāqaid ḳhāna hai ajab gumbad-e-be dar apnā
- گو ہوں وحشی پہ ترے در سے نہ ٹل جاؤں گاہاں مگر دشت عدم ہی کو نکل جاؤں گاgo hūñ vahshī pe tire dar se na ṭal jā.ūñgāhāñ magar dasht-e-adam hī ko nikal jā.ūñgā
- لب و دنداں کا تمہارے جو ہے دھیاں آٹھ پہرنہیں لگتی مری تالو سے زباں آٹھ پہرlab-o-dandāñ kā tumhāre jo hai dhiyāñ āṭh paharnahīñ lagtī mirī tālū se zabāñ āṭh pahar
- مثل آئینہ با صفا ہیں ہمدیکھنے ہی کے آشنا ہیں ہمmisl-e-ā.īna bā safā haiñ hamdekhne hī ke āshnā haiñ ham
- مطلب کی کہہ سناؤں کسی بات میں لگارہتا ہوں روز و شب میں اسی گھات میں لگاmatlab kī kah sunā.ūñ kisī bāt meñ lagārahtā hūñ roz-o-shab meñ isī ghāt meñ lagā
- میں کہا ایک ادا کر تو لگا کہنے اوں ہوںدیکھ ٹک آنکھ چرا کر تو لگا کہنے اوں ہوںmaiñ kahā ek adā kar to lagā kahne ūñ hūñdekh ṭuk ānkh churā kar to lagā kahne ūñ hūñ
- نالۂ موزوں سے مصرع آہ کا چسپاں ہوازور یہ پر درد اپنا مطلع دیواں ہواnāla-e-mauzūñ se misra āh kā chaspāñ huāzor ye pur dard apnā matla-e-dīvāñ huā
- نہ گرمی رکھے کوئی اس سے خدایاشرارت سے جی جس نے میرا جلایاna garmī rakhe koī us se ḳhudāyāsharārat se jī jis ne merā jalāyā
- واں سے گھر آ کے کہاں سونا تھاصبح تک یاد تھی اور رونا تھاvāñ se ghar ā ke kahāñ sonā thāsub.h tak yād thī aur ronā thā
- واں ہے یہ بد گمانی جاوے حجاب کیوں کردو دن کے واسطے ہو کوئی خراب کیوں کرvāñ hai ye bad gumānī jāve hijāb kyūñ kardo din ke vāste ho koī ḳharāb kyūñ kar
- وصل بننے کا کچھ بناؤ نہیںواں لگا دل جہاں لگاؤ نہیںvasl banne kā kuchh banā.o nahīñvāñ lagā dil jahāñ lagā.o nahīñ
- ہر چند بھرے دل میں ہیں لاکھوں ہی گلے پرکیا کہئے کہ کھلتا نہیں منہ وقت ملے پرhar chand bhare dil meñ haiñ lākhoñ hī gale parkyā kahiye ke khultā nahīñ muñh vaqt mile par
- ہم کب از خود ترے گھر یار چلے آتے ہیںرہ نہیں سکتے تو ناچار چلے آتے ہیںham kab az ḳhud tire ghar yār chale āte haiñrah nahīñ sakte to nāchār chale āte haiñ
- ہمیں دیکھے سے وہ جیتا ہے اور ہم اس پہ مرتے تھےیہی راتیں تھیں اور باتیں تھیں وہ دن کیا گزرتے تھےhameñ dekhe se vo jītā hai aur ham us pe marte theyahī rāteñ thīñ aur bāteñ thīñ vo din kyā guzarte the
- ہے تیری ہی کائنات جی میںجی تجھ سے ہے تیری ذات جی میںhai terī hī kā.ināt jī meñjī tujh se hai terī zāt jī meñ
- ہے یہ گل کی اور اس کی آب میں فرقجیسے پانی میں اور گلاب میں فرقhai ye gul kī aur us kī āb meñ farqjaise pānī meñ aur gulāb meñ farq
- یاد کر وہ حسن سبز اور انکھڑیاں متوالیاںکاٹتے ہیں رو ہی رو ساون کی راتیں کالیاںyād kar vo husn-e-sabz aur ankhṛiyāñ mutavāliyāñkāṭṭe haiñ ro hī ro sāvan kī rāteñ kāliyāñ
- یاں اس گلی سا کب کوئی بستاں ہے دوسراہاں کچھ جو ہے تو روضۂ رضواں ہے دوسراyāñ us galī sā kab koī bistāñ hai dūsrāhāñ kuchh jo hai to rauza-e-rizvāñ hai dūsrā
- یاں ہم کو جس نے مارا معلوم ہو رہے گامحشر میں خوں ہمارا معلوم ہو رہے گاyāñ ham ko jis ne mārā ma.alūm ho rahegāmahshar meñ ḳhūñ hamārā ma.alūm ho rahegā
- یہ قصوں میں جو دکھ اٹھانے بندھے ہیںسو الفت ہی کے سب فسانے بندھے ہیںye qissoñ meñ jo dukh uṭhāne bandhe haiñso ulfat hī ke sab fasāne bandhe haiñ