Arooz is now on the App Store, for iPhone and iPad. Download →

Poet

Qaisar Shameem

1936–2021

Poems

Meter
  1. ubalte pāniyoñ meñ hūñ kahāñ ubāl kī tarahmaiñ āj bhī hūñ tah nashīñ guzishta sāl kī tarah
  2. ek paudā jo ugā hai use pānī denāapne āngan ko na.ī rut kī kahānī denā
  3. thoṛī sī shohrat bhī milī hai thoṛī sī badnāmī bhīmerī sīrat meñ ai qaisar ḳhūbī bhī hai ḳhāmī bhī
  4. sulag rahī hai zamīñ yā sipehr ānkhoñ meñdhuāñ dhuāñ sā hai kyūñ terā shahr ānkhoñ meñ
  5. shikasta ḳhvāb ke malbe meñ ḍhūñḍhtā kyā haikhanḍar khanḍar hai yahāñ dhūl ke sivā kyā hai
  6. kahāñ hai koī ḳhudā kā ḳhudā ke bandoñ meñghirā huā hūñ abhī tak anā ke bandoñ meñ
  7. mausam to badalte haiñ lekin kyā garm huā kyā sard huāai dost hamāre āngan meñ rahtī hai hamesha zard huā
  8. maiñ musāfir sabā kī rāhoñ kābojh uṭhā.e hue gunāhoñ kā
  9. vo jo sab kā bahut chahītā thāqabr kī sā.atoñ meñ tanhā thā
  10. hone lage haiñ raste raste, āpas ke ṭakrā.o bahutek sāth ke chalne vāloñ meñ bhī hai algā.o bahut
  11. sāz se mere ġhalat naġhmoñ kī ummīd na karāg kī āg hai dil meñ to dhuāñ kyūñ kar ho
  12. sabz mausam se mujhe kyā lenāshāḳh se apnī judā hūñ bābā
  13. kisī manzil meñ bhī hāsil na huā dil ko qarārzindagī ḳhvāhish-e-nākām hī karte guzrī
  14. mausam ajīb rahtā hai dil ke dayār kāāge haiñ lo ke jhonke bhī ṭhanḍī havā ke ba.ad