تھوڑی سی شہرت بھی ملی ہے تھوڑی سی بدنامی بھی
Qaisar Shameem (1936–2021)تھوڑی سی شہرت بھی ملی ہے تھوڑی سی بدنامی بھی
میری سیرت میں اے قیصرؔ خوبی بھی ہے خامی بھی
کتنے عاشق سنبھل گئے ہیں میرا فسانہ سن سن کر
میرے حق میں جیسی بھی ہو کام کی ہے ناکامی بھی
محفل محفل ذکر ہمارا سوچ سمجھ کے کر واعظ
اپنے مخالف بھی ہیں کتنے اور ہیں کتنے حامی بھی
ایسا تو ممکن ہی نہیں ہے چاند میں کوئی داغ نہ ہو
جس میں ہوگی کچھ بھی خوبی اس میں ہوگی خامی بھی
میرا مذہب عشق کا مذہب جس میں کوئی تفریق نہیں
میرے حلقے میں آتے ہیں تلسیؔ بھی اور جامیؔ بھی
یوں تو سکوں کے لمحے قیصرؔ ہوتے ہیں انمول بہت
لیکن اپنے کام آتی ہے دل کی بے آرامی بھی
thori si shohrat bhi mili hai thori si badnami bhi
meri sirat mein ai qaisar khubi bhi hai khami bhi
kitne ashiq sambhal gae hain mera fasana sun sun kar
mere haq mein jaisi bhi ho kam ki hai nakami bhi
mahfil mahfil zikr hamara soch samajh ke kar waiz
apne mukhalif bhi hain kitne aur hain kitne hami bhi
aisa to mumkin hi nahin hai chand mein koi dagh na ho
jis mein hogi kuchh bhi khubi is mein hogi khami bhi
mera mazhab ishq ka mazhab jis mein koi tafriq nahin
mere halqe mein ate hain tulsi bhi aur jami bhi
yun to sukun ke lamhe qaisar hote hain anmol bahut
lekin apne kam ati hai dil ki be arami bhi