Poet
Nadir Shahjahanpuri
1890–1963
Poems
- جو درد جگر میں کمی ہو تو جانوںقیامت اگر ملتوی ہو تو جانوںjo dard-e-jigar meñ kamī ho to jānūñqayāmat agar multavī ho to jānūñ
- دل مٹ گیا تو خیر ضرورت نہیں رہیحسرت یہ رہ گئی ہے کہ حسرت نہیں رہیdil miṭ gayā to ḳhair zarūrat nahīñ rahīhasrat ye rah ga.ī hai ke hasrat nahīñ rahī
- زندگی اپنی کامیاب نہیںغم دوراں کا کچھ حساب نہیںzindagī apnī kāmyāb nahīñġham-e-daurāñ kā kuchh hisāb nahīñ
- کون کہتا ہے غم مصیبت ہےیہ بھی مولا کی خاص رحمت ہےkaun kahtā hai ġham musībat haiye bhī maulā kī ḳhās rahmat hai
- کوئی اس ظالم کو سمجھاتا نہیںوہ ستم کرنے سے باز آتا نہیںkoī us zālim ko samjhātā nahīñvo sitam karne se bāz ātā nahīñ
- کیوں یہ کہتے ہو کیا نہیں معلومکیا مرا مدعا نہیں معلومkyūñ ye kahte ho kyā nahīñ ma.alūmkyā mirā mudda.ā nahīñ ma.alūm
- کئے قرار مگر بے قرار ہی رکھاہمیں تو آپ نے امیدوار ہی رکھاkiye qarār magar be qarār hī rakhāhameñ to āp ne umīdvār hī rakhā
- لٹ گیا دل کہاں نہیں معلومکیا ہوا ہے زیاں نہیں معلومluṭ gayā dil kahāñ nahīñ ma.alūmkyā huā hai ziyāñ nahīñ ma.alūm
- لگتا نہیں کہیں بھی مرا دل ترے بغیردونوں جہاں نہیں مرے قابل ترے بغیرlagtā nahīñ kahīñ bhī mirā dil tire baġhairdonoñ jahāñ nahīñ mire qābil tire baġhair
- مانگنا کام مجھ سوالی کابخشنا تیری ذات عالی کاmāñgnā kām mujh savālī kābaḳhshnā terī zāt ālī kā
- مرے مٹنے پہ گر تو بھی مٹا ہوتا تو کیا ہوتاتجھے بھی صبر اے دل آ گیا ہوتا تو کیا ہوتاmire miṭne pe gar tū bhī miṭā hotā to kyā hotātujhe bhī sabr ai dil ā gayā hotā to kyā hotā
- وہ کبھی مائل وفا نہ ہوامیرا چاہا ہوا برا نہ ہواvo kabhī mā.il-e-vafā na huāmerā chāhā huā burā na huā
- ہم ان کے غم میں تڑپ رہے ہیں جو غیر سے دل لگا چکے ہیںہمارے دل میں ہے یاد ان کی جو ہم کو دل سے بھلا چکے ہیںham un ke ġham meñ taṛap rahe haiñ jo ġhair se dil lagā chuke haiñhamāre dil meñ hai yād un kī jo ham ko dil se bhulā chuke haiñ
- ہم دل فدا کریں کہ تصدق جگر کریںجو بھی کہیں حضور وہی عمر بھر کریںham dil fidā kareñ ke tasadduq jigar kareñjo bhī kahīñ huzūr vahī umr bhar kareñ
- انسان کے دل کو ہی کوئی ساز نہیں ہےکس پردہ میں ورنہ تری آواز نہیں ہےinsān ke dil ko hī koī sāz nahīñ haikis parda meñ varna tirī āvāz nahīñ hai
- بعد مرنے کے بھی ارمان یہی ہے اے دوستروح میری ترے آغوش محبت میں رہےba.ad marne ke bhī armān yahī hai ai dostrūh merī tire āġhosh-e-mohabbat meñ rahe
- بھرے رہتے ہیں اشک آنکھوں میں ہر دممری ہر سانس میں اب غم کی بو ہےbhare rahte haiñ ashk ānkhoñ meñ har dammirī har sāns meñ ab ġham kī bū hai
- پتھروں پہ نام لکھتا ہوں ترادیکھ تو او بت مری دیوانگیpattharoñ pe nām likhtā hūñ tirādekh to o but mirī dīvāngī
- پھول کھلتے ہی تتلی بھی آئیکیا کوئی دوستی پرانی ہےphūl khulte hī titlī bhī ā.īkyā koī dostī purānī hai
- تجھے دیکھا ترے جلووں کو دیکھاخدا کو دیکھ کر اب کیا کروں گاtujhe dekhā tire jalvoñ ko dekhāḳhudā ko dekh kar ab kyā karūñgā
- جو بھی دے دے وہ کرم سے وہی لے لے نادرؔمنہ سے مانگو تو خدا اور خفا ہوتا ہےjo bhī de de vo karam se vahī le le nādirmuñh se māñgo to ḳhudā aur ḳhafā hotā hai
- رحمت حق کو نہ کر مایوس اپنے فعل سےوہ بھلائی میں نہیں جو ہے برائی میں مزاrahmat-e-haq ko na kar māyūs apne fel sevo bhalā.ī meñ nahīñ jo hai burā.ī meñ mazā
- کسی سے پھر میں کیا امید رکھوںمری امید تو یا رب تو ہی ہےkisī se phir maiñ kyā umīd rakhūñmirī ummīd to yā rab tū hī hai
- مطلب کا زمانہ ہے نادرؔ کوئی کیا دے گامجھ سوختۂ قسمت کو دے گا تو خدا دے گاmatlab kā zamāna hai nādir koī kyā degāmujh soḳhta-e-qismat ko degā to ḳhudā degā
- ننگ ہے راز محبت کا نمایاں ہونامر بھی جاؤں میں اگر تم نہ پریشاں ہوناnang hai rāz-e-mohabbat kā numāyāñ honāmar bhī jā.ūñ maiñ agar tum na pareshāñ honā