کون کہتا ہے غم مصیبت ہے
Nadir Shahjahanpuri (1890–1963)کون کہتا ہے غم مصیبت ہے
یہ بھی مولا کی خاص رحمت ہے
لوگ کیوں زندگی پہ مرتے ہیں
میرے حق میں تو یہ قیامت ہے
حیلہ جوئی ہے اس کی رحمت کی
کب عبادت کوئی عبادت ہے
شکر نعمت کا جب نہیں کرتا
کیوں مصیبت کی پھر شکایت ہے
مجھ سے بد تر بہت ہیں عالم میں
قابل رشک میری حالت ہے
قلب مومن نہ غم سے گھبرائے
سنتے ہیں بعد رنج راحت ہے
مجھ سے ہوتی نہیں غزل نادرؔ
اس قدر مضمحل طبیعت ہے
kaun kahta hai gham musibat hai
ye bhi maula ki khas rahmat hai
log kyun zindagi pe marte hain
mere haq mein to ye qayamat hai
hila joi hai us ki rahmat ki
kab ibadat koi ibadat hai
shukr-e-nemat ka jab nahin karta
kyun musibat ki phir shikayat hai
mujh se bad tar bahut hain alam mein
qabil-e-rashk meri halat hai
qalb-e-momin na gham se ghabrae
sunte hain baad ranj-e-rahat hai
mujh se hoti nahin ghazal nadir
is qadar muzmahil tabiat hai