Poet
Muztar Khairabadi
مضطر خیرآبادی1865–1927
Poems
- مائل صحبت اغیار تو ہم ہیں تم کونکیوں برا مان گئے یار تو ہم ہیں تم کونmā.il-e-sohbat-e-aġhyār to ham haiñ tum kaunkyūñ burā mān ga.e yār to ham haiñ tum kaun
- محبت ابتدا میں کچھ نہیں معلوم ہوتی ہےمگر پھر دشمن ایمان و دیں معلوم ہوتی ہےmohabbat ibtidā meñ kuchh nahīñ ma.alūm hotī haimagar phir dushman-e-īmān-o-dīñ ma.alūm hotī hai
- محبت باعث نا مہربانی ہوتی جاتی ہےہماری ساری محنت دھول دھانی ہوتی جاتی ہےmohabbat bā.is-e-nā mehrbānī hotī jātī haihamārī sārī mehnat dhūl dhānī hotī jātī hai
- محبت کر کے لاکھوں رنج جھیلے بیکلی پائیوہ مجھ کو کیا ملے اک موت گویا جیتے جی پائیmohabbat kar ke lākhoñ ranj jhele bekalī pā.īvo mujh ko kyā mile ik maut goyā jīte jī pā.ī
- محبت کو کہتے ہو برتی بھی تھیچلو جاؤ بیٹھو کبھی کی بھی تھیmohabbat ko kahte ho bartī bhī thīchalo jā.o baiṭho kabhī kī bhī thī
- مخالف ہے صبائے نامہ بر کچھ اور کہتی ہےادھر کچھ اور کہتی ہے ادھر کچھ اور کہتی ہےmuḳhālif hai sabā-e-nāma bar kuchh aur kahtī haiidhar kuchh aur kahtī hai idhar kuchh aur kahtī hai
- مرے ارمان مایوسی کے پالے پڑتے جاتے ہیںتمہاری چاہ میں جینے کے لالے پڑتے جاتے ہیںmire armān māyūsī ke pāle paṛte jāte haiñtumhārī chāh meñ jīne ke lāle paṛte jāte haiñ
- مکتب کی عاشقی بھی تاریخ زندگی تھیفاضل تھا گھر سے مجنوں لیلیٰ پڑھی لکھی تھیmaktab kī āshiqī bhī tārīḳh zindagī thīfāzil thā ghar se majnūñ lailā paṛhī likhī thī
- میرے ارماں وہ سدھارے یوں کے یونہیں رہ گئےحوصلے سارے کے سارے یوں کے یونہیں رہ گئے
- میرے محبوب تم ہو یار تم ہو دل ربا تم ہویہ سب کچھ ہو مگر میں کہہ نہیں سکتا کہ کیا تم ہوmere mahbūb tum ho yār tum ho dil rubā tum hoye sab kuchh ho magar maiñ kah nahīñ saktā ke kyā tum ho
- نہ کسی کی آنکھ کا نور ہوں نہ کسی کے دل کا قرار ہوںکسی کام میں جو نہ آ سکے میں وہ ایک مشت غبار ہوںna kisī kī ānkh kā nūr hūñ na kisī ke dil kā qarār hūñkisī kām meñ jo na ā sake meñ vo ek musht-e-ġhubār hūñ
- وفا کیا کر نہیں سکتے ہیں وہ لیکن نہیں کرتےکہا کیا کر نہیں سکتے ہیں وہ لیکن نہیں کرتےvafā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ kartekahā kyā kar nahīñ sakte haiñ vo lekin nahīñ karte
- وقت آخر یاد ہے ساقی کی مہمانی مجھےمرتے مرتے دے دیا انگور کا پانی مجھےvaqt āḳhir yād hai sāqī kī mehmānī mujhemarte marte de diyā angūr kā pānī mujhe
- وہ قضا کے رنج میں جان دیں کہ نماز جن کی قضا ہوئیترے مست بادۂ شوق نے نہ کبھی پڑھی نہ ادا ہوئیvo qazā ke ranj meñ jān deñ ke namāz jin kī qazā huītire mast-e-bāda-e-shauq ne na kabhī paṛhī na adā huī
- ہجر میں ہو گیا وصال کا کیاخواب ہی بن گیا خیال کا کیاhijr meñ ho gayā visāl kā kyāḳhvāb hī ban gayā ḳhayāl kā kyā
- ہم عمر کے ساتھ ہیں سفر میںبیٹھے ہوئے جا رہے ہیں گھر میںham umr ke sāth haiñ safar meñbaiṭhe hue jā rahe haiñ ghar meñ
- ہم نے پائی لذت دیدار لیکن دور سےان کی صورت دیکھ لی سو بار لیکن دور سےham ne pā.ī lazzat-e-dīdār lekin dūr seun kī sūrat dekh lī sau bār lekin dūr se
- ہم وفا کرتے ہیں ہم پر جور کوئی کیوں کرےجب ہے بے غوری تو یہ بھی غور کوئی کیوں کرےham vafā karte haiñ ham par jaur koī kyūñ karejab hai be ġhaurī to ye bhī ġhaur koī kyūñ kare
- یہ تم بے وقت کیسے آج آ نکلے سبب کیا ہےبلایا جب نہ آئے اب یہ آنا بے طلب کیا ہےye tum be vaqt kaise āj ā nikle sabab kyā haibulāyā jab na ā.e ab ye ānā be talab kyā hai