مخالف ہے صبائے نامہ بر کچھ اور کہتی ہے
Muztar Khairabadi (1865–1927)مخالف ہے صبائے نامہ بر کچھ اور کہتی ہے
ادھر کچھ اور کہتی ہے ادھر کچھ اور کہتی ہے
نہ تو دشمن کے گھر سویا نہ تو دشمن کے گھر جاگا
یہ سب سچ ہے تری صورت مگر کچھ اور کہتی ہے
ادھر مد نظر ان کو چھپانا راز الفت کا
ادھر کمبخت میری چشم تر کچھ اور کہتی ہے
تصور دل میں شاید آ گیا ہے گھر کے جانے کا
یہ انگڑائی تری وقت سحر کچھ اور کہتی ہے
نہیں معلوم مضطرؔ مر گیا یا سانس باقی ہے
الٰہی خیر شکل چارہ گر کچھ اور کہتی ہے
mukhalif hai saba-e-nama bar kuchh aur kahti hai
idhar kuchh aur kahti hai idhar kuchh aur kahti hai
na to dushman ke ghar soya na to dushman ke ghar jaga
ye sab sach hai tiri surat magar kuchh aur kahti hai
idhar mad-e-nazar un ko chhupana raz-e-ulfat ka
idhar kambakht meri chashm-e-tar kuchh aur kahti hai
tasawwur dil mein shayad a gaya hai ghar ke jane ka
ye angrai tiri waqt-e-sahar kuchh aur kahti hai
nahin maalum muztar mar gaya ya sans baqi hai
ilahi khair shakl-e-chara gar kuchh aur kahti hai