Poet
Mah Laqa Chanda
ماہ لقا بائی1768–1824
Poems
- بسنت آئی ہے موج رنگ گل ہے جوش صہبا ہےخدا کے فضل سے عیش و طرب کی اب کمی کیا ہےbasant ā.ī hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahbā haiḳhudā ke fazl se aish-o-tarab kī ab kamī kyā hai
- تم منہ لگا کے غیروں کو مغرور مت کرولگ چلنا ایسے دیسوں سے دستور مت کروtum muñh lagā ke ġhairoñ ko maġhrūr mat karolag chalnā aise desoñ se dastūr mat karo
- دل میں میرے پھر خیال آتا ہے آجکوئی دلبر بے مثال آتا ہے آجdil meñ mere phir ḳhayāl ātā hai ājkoī dilbar be misāl ātā hai āj
- دل ہو گیا ہے غم سے ترے داغ دار خوبپھولا ہے کیا ہی جوش سے یہ لالہ زار خوبdil ho gayā hai ġham se tire dāġh dār ḳhūbphūlā hai kyā hī josh se ye lāla zār ḳhūb
- رکھتے ہیں میرے اشک سے یہ دیدۂ تر فیضدامن میں لیا اپنے ہے دریا نے گہر فیضrakhte haiñ mere ashk se ye dīda-e-tar faizdāman meñ liyā apne hai dariyā ne guhar faiz
- رہے رقیب سے باہم وہ سیم بر محظوظہوا نہ آہ کا اپنے کبھی اثر محظوظrahe raqīb se bāham vo sīm bar mahzūzhavā na āh kā apne kabhī asar mahzūz
- رہے نو روز عشرت آفریں جوش بہار افزاگل افشاں ہے کرم تیرا چمن میں دہر کے ہر جاrahe nau roz-e-ishrat āfrīñ josh-e-bahār afzāgul afshāñ hai karam terā chaman meñ dahr ke har jā
- ساقی ہے گرچہ بے شمار شرابنہیں خوش تر سوائے یار شرابsāqī hai garche be shumār sharābnahīñ ḳhush tar sivā.e yār sharāb
- عالم تری نگہ سے ہے سرشار دیکھنامیری طرف بھی ٹک تو بھلا یار دیکھناālam tirī nigah se hai sarshār dekhnāmerī taraf bhī ṭuk to bhalā yār dekhnā
- گرچہ گل کی سیج ہو تس پر بھی اڑ جاتی ہے نیندسر رکھوں قدموں پہ جب تیرے مجھے آتی ہے نیندgarche gul kī sej ho tis par bhī uṛ jātī hai nīndsar rakhūñ qadmoñ pe jab tere mujhe ātī hai nīnd
- گل کے ہونے کی توقع پہ جئے بیٹھی ہےہر کلی جان کو مٹھی میں لیے بیٹھی ہےgul ke hone kī tavaqqo pe jiye baiṭhī haihar kalī jān ko muṭṭhī meñ liye baiṭhī hai
- نہ گل سے ہے غرض تیرے نہ ہے گلزار سے مطلبرکھا چشم نظر شبنم میں اپنے یار سے مطلبna gul se hai ġharaz tere na hai gulzār se matlabrakhā chashm-e-nazar shabnam maiñ apne yār se matlab
- ہوئے جناب میں اب تک نہ تیرے ہم گستاخخدا کے واسطے ہم سے نہ ہو صنم گستاخhue janāb meñ ab tak na tere ham gustāḳhḳhudā ke vāste ham se na ho sanam gustāḳh
- گر مرے دل کو چرایا نہیں تو نے ظالمکھول دے بند ہتھیلی کو دکھا ہاتھوں کوgar mire dil ko churāyā nahīñ tū ne zālimkhol de band hathelī ko dikhā hāthoñ ko
- ہم جو شب کو ناگہاں اس شوخ کے پالے پڑےدل تو جاتا ہی رہا اب جان کے لالے پڑےham jo shab ko nāgahāñ us shoḳh ke pāle paṛedil to jātā hī rahā ab jān ke lāle paṛe