Poet
علی منظور حیدرآبادی
Poems
- اے کشمکش الفت جی سخت پریشاں ہےمرنے کی بھی حسرت ہے جینے کا کا بھی ارماں ہےai kashmakash-e-ulfat jī saḳht pareshāñ haimarne kī bhī hasrat hai jīne kā kā bhī armāñ hai
- برہم کن دل یوں کبھی برہم نہ ہوا تھاحیرت اثر ایسا مرا عالم نہ ہوا تھاbar.ham kin dil yūñ kabhī bar.ham na huā thāhairat asar aisā mirā ālam na huā thā
- پوچھو نہ کچھ ثبوت خرد میں نے کیا دیاایک مست ناز کو دل بے مدعا دیاpūchho na kuchh subūt-e-ḳhirad maiñ ne kyā diyāek mast-e-nāz ko dil-e-be mudda.ā diyā
- جب اپنے دل پہ اپنا کچھ اختیار دیکھابیگانہ خو حسیں کو بیگانہ وار دیکھاjab apne dil pe apnā kuchh iḳhtiyār dekhābegāna ḳhū hasīñ ko begāna vār dekhā
- جس کے ایماں پر بت کافر ہنسےاللہ اللہ وہ ہنسے کیونکر ہنسےjis ke īmāñ par but kāfir hañseallāh allāh vo hañse kyūñkar hañse
- حسن ان کا اپنے ذوق دید میں پاتا ہوں میںسامنے ہو کر وہ چھپتے ہیں تڑپ جاتا ہوں میںhusn un kā apne zauq-e-dīd meñ pātā hūñ maiñsāmne ho kar vo chhupte haiñ taṛap jātā hūñ maiñ
- حسن کو سمجھتا ہے عشق ہم زباں اپناہے حقیقت ایسی ہی یا ہے یہ گماں اپناhusn ko samajhtā hai ishq ham zabāñ apnāhai haqīqat aisī hī yā hai ye gumāñ apnā
- عشق صادق جو اسیر طمع خام نہ تھاسعیٔ ناکام کے غم سے مجھے کچھ کام نہ تھاishq-e-sādiq jo asīr-e-tama-e-ḳhām na thāsa.ī-e-nākām ke ġham se mujhe kuchh kām na thā
- غم کا گماں یقین طرب سے بدل گیااحساس عشق حسن کے سانچے میں ڈھل گیاġham kā gumāñ yaqīn-e-tarab se badal gayāehsās-e-ishq husn ke sānche meñ ḍhal gayā
- فرق جب لذت احساس میں پایا نہ گیادرد دیکھا نہ گیا تم کو دکھایا نہ گیاfarq jab lazzat-e-ehsās meñ pāyā na gayādard dekhā na gayā tum ko dikhāyā na gayā
- گم انہیں میں ہوں ان کا دھیان کب نہیں آتایاد انہیں بھلانے کا کوئی ڈھب نہیں آتاgum unheñ meñ hūñ un kā dhyān kab nahīñ ātāyād unheñ bhulāne kā koī ḍhab nahīñ ātā
- لائے گی رنگ آپ کی یہ دل لگی کچھ اوربڑھ کر رہے گی اب مری آشفتگی کچھ اورlā.egī rang āp kī ye dil lagī kuchh aurbaṛh kar rahegī ab mirī āshuftagī kuchh aur
- ناز بت مہوش پر قربان دل و جاں ہےیہ شان خدا شاہد غارت گر ایماں ہےnāz-e-but mahvash par qurbān dil-o-jāñ haiye shān-e-ḳhudā shāhid ġhārat gar īmāñ hai