Poet
Ibn-e-Insha
ابن انشا1927–1978
Poems
- آن کے اس بیمار کو دیکھے تجھ کو بھی توفیق ہوئیلب پر اس کے نام تھا تیرا جب بھی درد شدید ہواān ke is bīmār ko dekhe tujh ko bhī taufīq huīlab par us ke nām thā terā jab bhī dard shadīd huā
- ایک سے ایک جنوں کا مارا اس بستی میں رہتا ہےایک ہمیں ہشیار تھے یارو ایک ہمیں بد نام ہوئےek se ek junūñ kā mārā is bastī meñ rahtā haiek hameñ hushyār the yāro ek hameñ bad nām hue
- حق اچھا پر اس کے لیے کوئی اور مرے تو اور اچھاتم بھی کوئی منصور ہو جو سولی پہ چڑھو خاموش رہوhaq achchhā par us ke liye koī aur mire to aur achchhātum bhī koī mansūr ho jo sūlī pe chaṛho ḳhāmosh raho
- سن تو لیا کسی نار کی خاطر کاٹا کوہ نکالی نہرایک ذرا سے قصے کو اب دیتے کیوں ہو طول میاںsun to liyā kisī nār kī ḳhātir kāṭā koh nikālī nahrek zarā se qisse ko ab dete kyūñ ho tūl miyāñ
- کب لوٹا ہے بہتا پانی بچھڑا ساجن روٹھا دوستہم نے اس کو اپنا جانا جب تک ہاتھ میں داماں تھاkab lauṭā hai bahtā pānī bichhṛā sājan rūṭhā dostham ne us ko apnā jānā jab tak hāth meñ dāmāñ thā
- میرؔ سے بیعت کی ہے تو انشاؔ میر کی بیعت بھی ہے ضرورشام کو رو رو صبح کرو اب صبح کو رو رو شام کروmīr se bai.at kī hai to inshā mīr kī bai.at bhī hai zarūrshām ko ro ro sub.h karo ab sub.h ko ro ro shām karo
- وحشت دل کے خریدار بھی ناپید ہوئےکون اب عشق کے بازار میں کھولے گا دکاںvahshat-e-dil ke ḳharīdār bhī nāpaid huekaun ab ishq ke bāzār meñ kholegā dukāñ
- یوں ہی تو نہیں دشت میں پہنچے یوں ہی تو نہیں جوگ لیابستی بستی کانٹے دیکھے جنگل جنگل پھول میاںyūñ hī to nahīñ dasht meñ pahuñche yūñ hī to nahīñ jog liyābastī bastī kānṭe dekhe jangal jangal phūl miyāñ