Poet
Faizan Hashmi
b. 1986
Poems
- آنکھیں بجھ جائیں گی شعلہ رہ جائے گایعنی جو دیکھا تھا دیکھا رہ جائے گاānkheñ bujh jā.eñgī shola rah jā.egāya.anī jo dekhā thā dekhā rah jā.egā
- اپنے خلا میں لا کہ یہ تم کو دکھا رہا ہوں میںوہ جو خلا نورد ہیں ان کے لیے خلا ہوں میںapne ḳhalā meñ lā ke ye tum ko dikhā rahā hūñ maiñvo jo ḳhalā navard haiñ un ke liye ḳhalā hūñ maiñ
- اسی جہاز کے صحرا میں ڈوب جانے کیخبر ملی تھی مجھے خواب میں خزانے کیisī jahāz ke sahrā meñ ḍūb jāne kīḳhabar milī thī mujhe ḳhvāb meñ ḳhazāne kī
- بس یہی سوچ کے رہتا ہوں میں زندہ اس میںیہ محبت ہے کوئی مر نہیں سکتا اس میںbas yahī soch ke rahtā hūñ maiñ zinda is meñye mohabbat hai koī mar nahīñ saktā is meñ
- بہت سا کام تو پہلے ہی کر لیا میں نےجہاں جہاں مجھے ڈرنا تھا ڈر لیا میں نےbahut sā kām to pahle hī kar liyā maiñ nejahāñ jahāñ mujhe ḍarnā thā ḍar liyā maiñ ne
- دونوں جہاں سے آ گیا کر کے ادھر ادھر کی سیرپوچھو نہ جا رہا ہوں میں کرنے کو اب کدھر کی سیرdonoñ jahāñ se ā gayā kar ke idhar idhar kī sairpūchho na jā rahā hūñ maiñ karne ko ab kidhar kī sair
- سامنے ہوتے تھے پہلے جس قدر ہوتے تھے ہمجب یہ نظارے نہیں تھے تب نظر ہوتے تھے ہمsāmne hote the pahle jis qadar hote the hamjab ye nazzāre nahīñ the tab nazar hote the ham
- مرے وجود کو موجودگی دکھاتی تھیدیے کی لو مجھے دیوار کا بتاتی تھیmire vajūd ko maujūdgī dikhātī thīdiye kī lau mujhe dīvār kā batātī thī
- ملا رہا ہوں ترا حسن کائنات کے ساتھفیزکس کھول کے بیٹھا ہوں دینیات کے ساتھmilā rahā hūñ tirā husn kā.ināt ke sāthfezkis khol ke baiṭhā hūñ dīnyāt ke sāth
- میں اپنی خوشیاں اکیلے منایا کرتا ہوںیہی وہ غم ہے جو تجھ سے چھپا ہوا ہے مراmaiñ apnī ḳhushiyāñ akele manāyā kartā hūñyahī vo ġham hai jo tujh se chhupā huā hai mirā