Poet
Ejaz Rahmani
1936–2019
Poems
- اب کرب کے طوفاں سے گزرنا ہی پڑے گاسورج کو سمندر میں اترنا ہی پڑے گاab karb ke tūfāñ se guzarnā hī paṛegāsūraj ko samundar meñ utarnā hī paṛegā
- اسے یہ حق ہے کہ وہ مجھ سے اختلاف کرےمگر وجود کا میرے بھی اعتراف کرےuse ye haq hai ke vo mujh se iḳhtilāf karemagar vajūd kā mere bhī etirāf kare
- خشک دریا پڑا ہے خواہش کاخواب دیکھا تھا ہم نے بارش کاḳhushk dariyā paṛā hai ḳhvāhish kāḳhvāb dekhā thā ham ne bārish kā
- رنگ موسم کے ساتھ لائے ہیںیہ پرندے کہاں سے آئے ہیںrang mausam ke sāth lā.e haiñye parinde kahāñ se ā.e haiñ
- سائے میں آبلوں کی جلن اور بڑھ گئیتھک کر جو بیٹھے ہم تو تھکن اور بڑھ گئیsā.e meñ ābloñ kī jalan aur baṛh ga.īthak kar jo baiṭhe ham to thakan aur baṛh ga.ī
- ظالم سے مصطفیٰ کا عمل چاہتے ہیں لوگسوکھے ہوئے درخت سے پھل چاہتے ہیں لوگzālim se mustafā kā amal chāhte haiñ logsūkhe hue daraḳht se phal chāhte haiñ log
- کتنے باہوش ہو گئے ہم لوگخود فراموش ہو گئے ہم لوگkitne bāhosh ho ga.e ham logḳhud farāmosh ho ga.e ham log
- مٹ گیا غم ترے تکلم سےلب ہوئے آشنا تبسم سےmiṭ gayā ġham tire takallum selab hue āshnā tabassum se
- نقش بر آب ہو گیا ہوں میںکتنا کم یاب ہو گیا ہوں میںnaqsh-e-bar āb ho gayā hūñ maiñkitnā kam yāb ho gayā hūñ maiñ
- ہنسی لبوں پہ سجائے اداس رہتا ہےیہ کون ہے جو مرے گھر کے پاس رہتا ہےhañsī laboñ pe sajā.e udās rahtā haiye kaun hai jo mire ghar ke pās rahtā hai
- ہوا کے واسطے اک کام چھوڑ آیا ہوںدیا جلا کے سر شام چھوڑ آیا ہوںhavā ke vāste ik kām chhoṛ āyā hūñdiyā jalā ke sar-e-shām chhoṛ āyā hūñ
- آدمی کا وقار علم سے ہےزندگی کی بہار علم سے ہےādmī kā vaqār ilm se haizindagī kī bahār ilm se hai
- ابھی سے پاؤں کے چھالے نہ دیکھوابھی یارو سفر کی ابتدا ہےabhī se pā.oñ ke chhāle na dekhoabhī yāro safar kī ibtidā hai
- تالاب تو برسات میں ہو جاتے ہیں کم ظرفباہر کبھی آپے سے سمندر نہیں ہوتاtālāb to barsāt meñ ho jāte haiñ kam zarfbāhar kabhī āpe se samundar nahīñ hotā
- وہ ایک پل کی رفاقت بھی کیا رفاقت تھیجو دے گئی ہے مجھے عمر بھر کی تنہائیvo ek pal kī rifāqat bhī kyā rifāqat thījo de ga.ī hai mujhe umr bhar kī tanhā.ī